Hajj aur Umra ko ziyada mehfooz banane ke liye Saudi karobari shaksiyat ka anoka idea. Governor Makka ki manzori ke bad Pakistan manufacturer ke zariye bade paymane par taiyaari ka mansubha hai.
Saudi Arab jaanewale tamaam Aazmeen e Hajj aur Umra 2030 tak ayse Ihram odh kar manasik ada kar sakenge jin par bacteria asar-andaaz nahin ho sakega. Ayise Ihram jald hi Pakistan ke shaher Faisalabad mein taiyaar huwa karenge. Nanotechnology ke istemaal ke zariye Ihram ke taiyaari aik Saudi buisinessman Hamad Al-Yami ka idea hai. Unhen ye idea akhabaar mein aik khabar padh kar aaya jis mein bataya gaya tha ke Umm Al-Qura University kee aik teem Nanotechnology ke istimaal ke zareeya Masjid ul-Haraam mein bichhe qaaleeno par chaandi ke Nano ajzaa ki tahe chadha rahi hai jis ki vajah se Bacteria ke afzayish nahin ho sakti. Jaraseem kushee ke liye chaandi ka istimaal qadeem tareeqa hai. Har saal lakhon Umre aur Hajj ke liye lakhon Aazameen Saudi Arab aate hain aur ayse mein mukhtalif bimaariyaan phailne ka khatara rahta hai.Ye Khabar pad kar Hamad Al-Yami ko Nanotechnology ke zarieye Ihram ke taiyaaree ka khyaal aaya, unhon ne malumat hasil karana shuro kiyn aur Dubai mein aik German Faishon Desinger se unaka raabita hua jisane unhen jaraaseemakush Ihram bana kar diya, 2017 mein Hajj ke dauraan paheli bar ayse Ihramon ki farooqhat ka aagaaz huwa.Unhen mazeed sasta banaane ke liye Hamad Al-Yami ne Pakistan ke shaher Faisalabad ka rukh kiya jahaan aik manufacturer unhen munaasib qeemat par matalooba miyaar ke Ihram banakar dene par razamand ho gaya. Governor Makkah ki manzuri ke baad is mansube par amal daraamad shuro ho ga aur 2030 tak tamaam Aazemeen ko jaraaseemakush Ihram dastiyaab honge.