Riyadh: Saudi Arab ki ek tehqeeqi Team ne nabina afraad ke liye Quran pak ka ek Electronic nuskha tayyar kiya hai. Is munfarid Quran pak ki ayaat, Arabi huroof aur safhaat ko mutharrak shakal mein tayyar kiya gaya hai jo Bril ki madad se padha jasakega. Electronic Quran pak ki madad se nabina afraad Quran pak ki ayaat, Suratoun aur paaroun ko aasani ke sath talaash kar sakenge.
Saudi Press Agency ke mutabiq, Electronic Quran ki ijaad ne Quran ke umomi nuskhoun par talawat mein darpaish mushkilaat ko khatam kardiya hai. Bril par tayyar kardah Quran kareem ke nuskhay 6 jeldoun par mushtamal hote hai. Wazan, Ek jagah se doosri jagah muntaqili jaisi mushkilaat ke sath sath un par suratoun aur paaroun ki talaash bhi mushmil hoti hai taham Electronic Quran pak ke nuskhay neh ye tamam masail hal kardiye hain.
Shah Abdulaziz University ke knowledge managment ke sarbarah Mashal Al-Harsani ki zir-e-nigrani tehqeeqi team neh nabina afraad ke liye Electronic Quran pak ka nuskha kaafi mehnat aur mahaarat ke sath talaash kiya hai. Saudi Arab mein is ke kamyaab tajarbay ke baad usay pooray aalam Islam mein phelaya jayega. –YTN STAFF