India

N Ramesh Kumar dobarah AP State Election Commissioner

By News Desk Roman Urdu

August 03, 2020

Amravati: N Ramesh Kumar ne ek martaba phir Andhra Pradesh State Election Commissioner ohda ki zimma daari sambhaal li. Is mauqa par unhoun ne daawa kiya ke Election Commission ek azadana dastoori idaara hai aur ye munafirat ke baghair kaam karta hai. Unhoun ne umeed zahir ki ke maazi ki terhan hukoomat se taawun haasil hoga. Guzashta jumaraat ko hukoomat ne 2 sarkari ehkaam jari karte hue un ko isi ohda par dobarah muqarrar kiya. Ye ehkaam, High Court ki hidayat ke baad jari kiye gaye.

Ramesh ne corona ke pesh-e-nazar idaara jaat muqami ke intikhabaat ko multawi kardiya tha taham reyasti hukoomat ne ek Ordinance jari karte hue reyasti Election Commissionaire ki miyad ko islahat ke naam par kam kardiya. Un ki jagah sabiq Judge Justice Kanagaraj  jin ka talluq Tamil Nado se hai laya gaya tha. Is par Kumar adalat se rujoo hue they AP High Court ne un ko isi jagah dobarah muqarrar karne ki hidayat di thi taham reyasti hukoomat ne un ehkaam par amal nahi kiya jis par Ramesh ne High Court mein tauheen-e-adalat ki arzi daakhil ki.

Is arzi ki samaat karte hue adalat ney un ko hidayat di ke wo Governor se mulaqaat karen aur is silsila mein numaindagi karen jis ke baad unhoun ney 20 July ku Governor se Raj Bhavan mein mulaqaat ki thi jinhon ney reyasti hukoomat ko ek maktoob rawana karte hue khwahish ki ke Ramesh ko isi jagah dobarah muqarrar karte hue reyasti High Court ke ehkaam par amal kiya jaye. Reyasti hukoomat is masla par Supreme Court se bhi rujoo hui aur high court ke tauheen-e-adalat ke ehkaam par rokk laganay ki khwahish ki taham adalat-e-uzma ney is ko mustard kardiya aur Ramesh Kumar ko High Court ke hukum par amal ke silsila mein androon ek hafta halaf nama daakhil karne ki hidayat di.