India

Muzahirey ke douran aag zani karne ke ilzaam mein das afraad giraftar

By News Desk Roman Urdu

December 17, 2019

New Delhi: Itwaar ke roz Jamia Millia Islamia University ke qareeb new frinds colony mein shehriat tarmeemi Act ( CAB ) ke khilaaf ehtijaj ke douran gadioun ko aag laganay ke ilzaam mein kam az kam 10 afraad ko, Jin par mujremana adawat ka ilzaam lagaya gaya tha, Mangal ke roz giraftar kiya gaya.

Ek senior police Afsar ne bataya ke, Giraftar kiye gaye 10 afraad mein se 3 afraad kharab kirdaar ke they. Unki shanakht karkay inhen giraftar kar liya gaya, unhoun ne mazeed kaha ke, Giraftar kiye gaye afraad mein se koe bhi Jamia Millia ka taalib ilm nahi hai.

Unhoun ne ye bhi kaha ke Delhi ke junoob mashriqi azlaa ke muktalef hissoun mein chaapay maray ja rahay hain, Jo ehtijaj ke doran tashadud ka nishana banay they. Delhi police ne peer ko na maloom afraad ke khilaaf aatish zani aur fasadaat ke ilzaam mein 2 allag allag muqadmaat darj kiye.

iItwaar ke roz, Muzahireen ne shehriat tarmeemi act ke khilaaf muzahiray ke douran new friends colony mein police se jhadap ke douran 4 public buses aur 2 police ki gadiyon ko nazar aatish kar diya gaya, Jis mein talba, Police aur Fire Fighter sameit 60 ke qareeb afraad zakhmi hogaye. Iske baad force ne par tashadud hajhoom ko muntashir karne aur Jamia university campus mein daakhil honay par lathi charge kiya aur ansoo gas ke shall chhodey gaye.

Jamia ke ohdedaroun aur talba ne daawa kiya ke ehtijaj ke douran honay walay tashadud aur aatish zani se unka koi lena dena nahi hai aur unhoun ne ye ilzaam lagaya ke’ kuch shar pasand aanser “ Is mein shamolait ikhtiyar ki aur par aman March mein khalal pidakar diya. –YTN STAFF