India

Muzaffar nagar ke 4 muslim afraad ko 19 saal baad adalat ne be-qusoor qaraar diya gaya

By News Desk Roman Urdu

August 10, 2019

New Delhi: Dehshat gardi ke ilzaam mein 19 saal ke taweel intezar ke baad Uttar pradesh ke shehar Muzaffar nagar ke 4 muslim noujawanon ko Allahabad high court ne yeh kehte hue ba-izzat bari kar diya ke istighasa ne dehshat gardi aur mulk se dushmani ka muqadma qaim karne ke liye darkaar khusoosi ijazat nama haasil hi nahi kiya tha. is ke bawajood session adalat ne inhen 18 May 2007 ko Umar qaid ki saza aur ek ek laakh rupiye jurmana aaed kiya tha.

Allahabad high court ki do rukni bench ke justice Sudhir Agarwal aur justice Rajendra kumar ne 6 feb 2019 ko faisla mehfooz karliya tha. jis waqt faisla sunaya ja raha tha Jamiat ulama ke wakeel advocate Mujahid Ahmed wo deegar adalat mein moujood the. muqadma ka saamna kar rahay mulzimin Ashfaq nanhay wald Abdul Rasheed, Ghayoor Ali aur sardar Ali ko qanooni imdaad faraham karne wali tanzeem Jamiat-ul-Ulama ( Arshad Madni ) qanooni imdaad committee ke sarbarah Gulzar Ahmed aazmi ne Mumbai mein media ko tafseelaat faraham kee.

Gulzaar aazmi ne kaha ke 31 March 2000 ko muzaffar nagar ke Kandhala Police station mein khufia jankari ki bunyaad par FIR darj ki gayi thi jis ke mutabiq mulzim Ashfaq nanhay ke ghar mein chand ghair mulki panah hay liye hue hain jin ka talluq Pakistani khufia tanzeem ISI se hai aur woh log Hindustan mein dehshat gardanah karwaiya anjaam dena chahtay hain. FIR ki bunyaad par Police ne mulzimin Ashfaq nanhay, Mohammad Waris, Ghayoor Ali , sardar Ali aur mustaqeem Ahmed ko girftar kiya aur unke khilaaf tazeerat hind, foreign act, passport act aur arms act ki mutadid daf-aat ke tehat muqadma qaim kar liya.

Taqreeban 17 saal tak muqadma ki samaat nichli adalat mein chalti rahi jis ke baad adalat ne 18 May 2007 ko apna faisla sunaya. ek janib jahan mulzimin Ghayoor rasheed, sardar Ali aur mushtaq maseeh ullah ko tamam ilzamaat se bari kardiya wahein mulzimin Ashfaq nanhay aur Mohammad waris ko Umar qaid ki saza aur ek ek laakh rupaye jurmana aed kiya tha. Gulzaar Ahmed aazmi ne kaha ke mulzimin ne nichli adalat mein apna muqadma khud lada tha aur high court mein bhi appeal daakhil ki thi lekin jab 10 saal ka taweel arsa guzar janay ke baad bhi unke muqadma ki samaat nahi hui to unhon ne saddar Jamiat ulama Hind Moulana Arshad Madni ko khat likh kar unse qanooni imdaad talabb ki.

Is ke baad mulzimin ke difaa mein Delhi ke wukala advocate Arif Ali aur advocate Mujahid Ahmed ko muqarrar kiya gaya jinhon ne Dehli se Allahabad jaakar sab se pehlay adalti record ka muaina kiya jis ke baad yeh inkishaaf hua ke nichli adalat ne mulzimin ko jo saza di hai woh ghair aaeni hai kyunkay istighasa ne khusoosi ijazat nama ke baghair hi mulzimin ke khilaaf muqadma qaim kardiya.

Allahabad high court ne ek janib jahan mulzimin ko ba-izzat bari kar diya wahein nichli adalat se bari honay walay mulzimin ke khilaaf daakhil Uttar pardesh hukoomat ki appeal ko bhi kharij kardiya. Moulana Arshad Madni ne is faisla ka khair maqdam karte hue usay sachaai aur insaaf ki jeet qarar diya. unhon ne kaha ke jis tarhan 19 baras ke taweel intezar ke baad insaaf mila hai woh is angrezi kahawat ko sach kar dikhata hai ke’ Justice delayed is justice denied ‘ ( insaaf mein takheer insaaf se inkar hai). afsos ki baat to yeh hai ke is par na to mulk ka media kuch keh raha hai aur na hi woh danishwar tabqa hi koi tabsarah karta hai jo secularism ki khasmain khata hai.

Moulana ne kaha ke yeh ahem masla hai, aaj kuch log ba-izzat bari hue hain kal mazeed kuch logon ko agencies jhutay ilzaam mein salakhon ke peechay pouncha dengi aur yeh silsila isi tarhan jari hai, unhon ne sawal kiya ke is tarhan kab tak be-gunaaho ki zindagion se khilwadh hota rahega, unhon ne yeh bhi kaha ke jab tak Police aur agencies ki jawab dahi tey nahi hogi aur jab tak be gunaaho ki zindaganian tabah karne walay ohdedaron ko saza nahi di jati hai.

Aisay mamlaat mein zimma dar police ohdedar aur unke khilaaf sakht karwai ki jaye aur barsoun tak jail mein band reh kar apni zindagi ki tabahi ka tamasha dekh chuke be qusuroun ko muawza bhi ada kiya jaye sath hi unhon ne is baat par bhi sakht barhami ka izhar kiya ke naam Nihaad qaumi media aksar electronic media musalmanoun ki giraftari ke waqt toofan khada kardeti hai aur un ke khilaaf trial shuru kardete hae jab yahi log adalat se ba-izzat bari hotay hain to media ko saanp sungh jata hai yeh janbadaranh rawayya sahaafat ke pesha se khayanat hai, Moluana  ne aakhir mein kaha ke firqa parast intizamia aur mutasib ohdedaron ki zulm wo ziyadatiyoun ke khilaaf agar koi umeed ki kiran nazr aati hai to adalatein hi hain afsos ki baat jo kaam hukoomatoun ka tha ab woh adalatein kar rahi hain.-YTN STAFF