India

Mutanazia shehriat tarmeemi Billl Lok sabha mein manzoor, Mukhtalif siyasi qaideen ne jataya aitraaz

By News Desk Roman Urdu

December 10, 2019

New Delhi: Lok sabha mein 6 ghantay ki behas-o-mubahisay ke baad peer ko shehriat tarmeemi bill, 2019 ko manzoor hogaya, Ewaan zaireen mein mojood kal 391 arkaan mein se 311 ne bill ke haq mein vote diya, Jabkay 80 ne is ke khilaaf vote diya. Is pesh kashi ke douran oppostion jamaatoun ne is bill ki sakht mukhalifat ki aur usay ghair aaeni aur musalmanoun ke khilaaf qarar diya. Sath hi usay Article 14 ki khilaaf warzi bataya. Is mauqa par markazi wazeer-e-dakhla Amit Shah ne mutanazia bill ka difaa karte hue sakht alfaaz mein taqreer kiya. unhoun ne kaha ke shehriat tarmeemi bill se hindustani musalman mutasir nahi hotay hain.

Amit Shah ne kaha ke ”Erkaan ne Article 14 ka hawala dete hue usay ghair aaeni qarar diya hai. Mein ye kehna chahta hon ke ye bill kisi bhi terhan se ghair aaeni nahi hai aur na hi ye article 14 ki khilaaf warzi karta hai. Unhoun ne kaha ke agar is mulk ki taqseem mazhab ki bunyaad par na hoti to mujhe bill laane ki zaroorat nahi hoti, Ewaan ko ye tasleem karna pade ga ke mazhora ke bunyaad par taqseem hai. Wo hissa jahan ziyada musalman rehtay they wo Pakistan ban gaya aur dusra hissa hindustan ban gaya.

Ab ye bill Rajya sabha mein pesh kiya jaye ga. Mazkorh bill ke manzoor honay par wazeer-e-aazam Narendra Modi ne twit karte hue ke ”Log sabha ne ek bhar poor aur wasee behas ke baad shehriat tarmeemi bill, 2019 manzoor kar liya. Mein mukhtalif arakeen parliament aur jamaatoun ka shukriya ada karta hon, Jinhoun ne bill ki himayat ki. Ye bill hindustan ki qadeem ikhlaqiaat aur insani eqdaar par aetmaad ke ain mutabiq hai.

Lok sabha mein shehriat tarmimi bill ki manzoori ke baad, Congress ke sabiq sadar Rahul Gandhi ne mangal ko twit karte hue ye daawa kiya ke, Ye bill aeen par hamla hai aur jo bhi is ki taied karta hai, Wo mulk ki bunyadoun par hamla kar raha hai aur usay tabah karne ki koshish kar raha hai“.

Lok sabha mein peer ko shehriat tarmeemi bill se mutaliq behas mein hissa letay hue mutanazia bill ko phaad ne walay Asaduddin Owaisi ne lok sabha mein mazkorah mutanazia bill ke manzoor honay par, Twit karte hue likha ke ”Aadhi raat ko jab duniya so rahi thi, Azaadi, Masawaat, Uqarba par wari aur insaaf ke hindustan ke nazriaat ko dhoka diya gaya. Mein ne is ke khilaaf jaddo jehed ki aur mein har hindustani se wada karta hon ke ye ladai abhi khatam nahi ho yi hai. mayusi ko qareeb anay mat den, Nidar aur mazboot banin.

Wahein Congress ki general secretary Priyanka Gandhi Vadra ne mangal ko Lok sabha mein shehriat tarmeemi bill ki manzoor ke baad hukoomat par mutassbana rawayya ikhtiyar karne ka ilzaam aed karte hue kaha ke ”Congress hukoomat ke aeen ko tabah karne ke ”munazzam agenday “ke khilaaf laday gi“.

Siyasi qaideen aur aam logoun ke sath sath, bollywood aur TV fankaroun ne bhi is bill ke baray mein apni raye ka izhaar kiya hai. Is bill par, Big Boss show ke Tehseen Poona wala ne bhi twit kiya hai. Unhoun ne apne twit mein, Shehriat tarmeemi bill ke khilaaf awaami tehreek munazzam karne ki zaroorat ka izhaar kiya hai. Unhoun ne kaha ke ”Hamin ye kaam note bandi ke waqt karna chahiye tha, Jo ghair aaeni tha aur hum sab ki paresani ka baais bhi tha. Tab hum ne aisa nahi kiya, Aur hum yahan mojood hain. Hamein apni maeeshat ke liye shehriat tarmeemi bill ke khilaaf khada hona chahiye. –YTN STAFF