Jurm

Mushtaba naujawanon se NIA ki tafteesh jari

By Abdul Aziz

August 07, 2018

Budh ke din dubarah NIA ke daftar pahunchney ki hidayat ke sath mushtaba naujawanon ko ghar jaane ki ijazat daey di gayi.

Hyderabad. National Investigation Agency (NIA) ke ohdedaron ne aaj Hyderabad ke Begumpet mein waqay apne ilaqayi daftar mein mangal ko din bhar ISIS se talluq ke silsila mein 2016 mein darj aik muqadma ke silsila mein taqreeban 6 naujawanon se tafteesh ki hai jin mein kuch naujawanon se is se qabal bhi pooch gach ki gayi thi. NIA ne 2016 mein ISIS se taluqaat qaim karne aur Mulk ke khilaaf saazish ke ilzaam mein aik muqadma darj kya tha aur Mulk bhar se 9 afraad ko girftar kya tha. Is case mein chargesheet ki peshkashi ke ziman mein tafteesh ko wusat dete hue hyderabad mein maujood chand mushtaba naujawanon se pooch gach ki jarahi hai taakay un ke mulawis honay ke imkanaat ka jaiza liya jaye. Is case mein maazi mein bhi chand Hyderabadi naujawanon se pooch gach ki thi. Qaumi Tehqiqati Agency ki janib se Hyderabad mein kiye gaye dhaavoun aur mushtaba naujawanon se mutaliq jari tafteesh ke baray mein kisi qisam ka bayan sarkaari taur par jari na kiye jane ke baayis zaraye ablaagh mein mutazaad daaway kiye jarahay hain aur ghair musaddiqa khabron ke hawala se atkal pacho lagaye jarahay hain. Yaad rahay ke peer ke din NIA ki mukhtalif teamon ne shehar ke mukhtalif muqamat par mushtaba naujawanon ke gharron par chaapay maartay hue un naujawanon se pooch gach ki thi aur un ke zair istemaal Laptop, Computers and Cell Phones waghera zabt karliye thay. Un naujawanon mein kuch ko yeh Hidayat dete hue hirasat mein nahi liya gaya tha ke woh mangal ke din Agency ke daftar waqay Begumpet report karen. Bataya jata hai ke un naujawanon ko din bhar pooch gach ke baad raat 9:00 bajey ke qareeb budh ke din bhi daftar aanay ki hidayat dete hue gharon ko jane ki ijazat daiy di. Bataya jata hai ke un naujawanon se tafteesh alahda alahda mukhtalif sessions mein ki gayi aur aik dosray ko samnay paish karte hue un ke baray mein daryaft kya gaya. Tafteeshi ohdedaron ne un naujawanon ki roz marrah ki masrofiyaat ke baray mein istefsaraat kiye gai aur online raabton se mutaliq bhi jaanch ki gayi. Un naujawanon mein Mehdipatnam aur shaheen Nagar ilaqa ke aik aik naujawan bhi shaamil hain. Bataya jata hai ke NIA ki teams Hyderabad mein teen din qabal hi pahonch gayi theen jin ke taawun ke liye Karnataka aur Maharashtra se talluq rakhnay wale Intelligence ohdedaron ki teams bhi hain.