New Dehli: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke qaumi naib sadar Advocate Sharifuddin Ahmed ne apne akhbaari aalamia mein Dr Aarti Lalchandani ke video Interview mein Musalmanoun ke khilaaf diye gaye ishtial angaiz bayan baazi ki sakht muzammat karte huve hukkaam se mutalba kiya hai ke firqa waranah munafirat aur tashadud ko huwa dainay walay un ke tebsaroun ke liye un par sakht qanooni karwai ki jaye. Advocate Sharifuddin Ahmed ne medical council se mutalba kiya hai ke wo Dr Aarti Lalchandani ki zeher afshani ke liye un ki registration mansookh karen jin ki zahreeley bayan se tamam tibbi ikhlaqiaat pamaal hoti hain. Dr Aarti jo Ganesh Shankar Vidyarthi Memorial Medical College Kanpur ki principal hain unhoun ne apne video mein tableegh jamaat ke kaarkunoun ko dehshatgard qarar dete huve hukoomat se mutalba kiya tha ke inhen cal kothari jaisi tanhai mein band kar dena chahiye ya ilaaj ke baghair inhen jungloun mein bhaij diya jana chahiye kyunkay un ka ilaaj kiya jana sarkari wasail ki barbadi hai. Unhoun ne wazeh tor par muslim abadi ko nishana banatay huve kaha hai ke bees tees crore logoun ki wajah se 100 crore logon ki jaan dao par lagai jarahi hai. SDPI qaumi naib sadar Advocate Sharifuddin Ahmed Dr Aarti Lalchandani ko tibbi baradri ka ek dhabba qarar diya hai jo mareezoun ko un ki zaat, Mazhab, Sanaf waghera se qata nazar yaksaa sulooq karne ke liye par azm hai. Unhoun neh herat ka izhaar karte huve kaha hai ke muslim community ke mareez aisay Dr se ilaaj ke liye kaisay jasakte hain mutaliqa hukkaam ko ye yakeeni banana chahiye ke aisay shaytani afraad ke zareya firqah waranah hum ahangi kharab nahi ho jo musalmanoon ke khilaaf zeher ugalte hain. Unhoun ne mutalba kiya ke Dr Aarti ke ishtial angaiz tabseroun ke khilaaf sakht karwai shuru ki jaye aur inhen ek naamwar idaray ke Principal ke ohday se fori tor par hataya jaye. –YTN STAFF