Musa nadi

India

Musa nadi par 5 naye puloun ki taameer ka faisla

By News Desk Roman Urdu

January 04, 2021

Hyderabad: Musa nadi ke per traffic walay ilaqoun mein paanch naye puloun ki taamer ka mansoobah banaya gaya hai taakay un ilaqon mein kam traffic jam ko kam kiya jaa sakay.

MAO department consultant aur LEA ke arbab-e-majaz se rabita karega taakay puloun ke fasloun ko kam karne ke liye takneeki aur muashi imkanaat ka mutalea kya jasakay.

Agarche yahan Musa nadi per chand pul pehlay se hi mojood hain jo Attapur, chadarghaat, Puranapul, bapu ghaat, Nagul aur muslim jung mein taamer ho chukay hain, lekin unke darmiyan bohat ziyada faasla hai.

zaraye ne kaha hai ke mujawaza pul awam ko raahat faraham karenge, ilaqon ki taraqqi mein madad karenge, 2 maqamat ke darmiyan safar ka waqt kam kar deinge aur muqami logon ki naqal wo harkat ke liye hamwar rasta qaim kaim. Secretary somesh kumar ne hyderabad road development coopration ltd (HRDCL ) ke board of directorate ke 12 win ijlaas ke douran MAOD ko hidaayat di hai ke woh puloun ki taamer ke liye maqamat ka pata laganay ke liye physiblity study apane.

Chand roz qabal chief secretary somesh kumar ki sadarat may Hyderabad road development cooperation ltd (HRDCL) gaye hain. Cheif secretary ne na-mukammal link project ki peishrft ka jaiza letay hue kaha ke pehlay marhalay mein HR jabkay yeh kaam dosray marhalay ke tehat tajweez kiya gaya hai.

Somesh Kumar ne na-mukammal link road mansoobon ko mukammal karne par HRDCL ke ohdeadaroun ki bhi sataish ki jisne hyderabad ke mutadid ilaqon mein traffic ko kaafi had tak aasaan kardiya. Road development mansoobon ki tayari jari hai aur aglay do saloon tak yeh mukammal hojayegi. Arvind kumar principal secretary, MA&UD aur mukhtalif mehakmon ke deegar srbrahan samait senior ohdedar is ijlaas mein mojood thay.