Slider

Mumbai aur Bangalore mein Playoff mein rasai ke liye rassa kasha

By News Desk Roman Urdu

October 27, 2020

Abu Dhabi: Mumbai Indians aur Royal Challengers Bangalore charshumbe ko IPL mein ek zabardast muqaabla mutawaqqa hai aur is se ek Playoff tay hojaye ga. Mumbai is waqt 11 muqablon mein 7 fatohat, 4 shikast aur 14 nishanaat ke sath IPL ki teams mein sare fehrist hai jabkay Bangalore ki bhi yahi sorat-e-haal hai lekin Mumbai pehlay aur Bangalore Run Rate ki bunyaad par teesray maqam par hai. Mumbai aur Bangalore ke mabain match mein jo bhi team kamyaab hoti hai woh 16 points par pahonch jaye gi aur Playoff mein yakeeni tor par rasai haasil karle gi.

Mumbai aur Bangalore apne pichlle match gawanay ke baad is match mein shirkat kar rahay hain. Abu Dhabi mein itwaar ko Mumbai ko Rajasthan Royals ne 8 wickets aur Dubai mein Bangalore ku Chennai Super Kings ne 8 wickets se shikast di thi. Yeh match dono teams ke liye bohat ahem hai kyunkay shikast khanay wali team ko apne baqi 2 matches mein se ek mein kamyabi ke liye sakht challenge ka saamna karna pade ga.

Mumbai ke liye Captain Rohit Sharma ke zakhmi honay se pareshani hosakti hai. Taham Rohit ke zakham ke baray mein ab bhi uljan hai. Rohit ki team Mumbai Indians ne apne Captain ki practice karne ki video jari ki hai jab ke BCCI ne Rohit ko November, January mein aindah Australia ke doray ke liye T20, ODI aur Test tenu mein jagah nahi di hai. Rohit azlaat mein jakran ki wajah se apni team ke aakhri 2 matches se mehroom hue jis mein Mumbai ne Kieron Pollard ki captani mein Chennai ko 10 wickets se shikast di lekin Rajasthan se 8 wickets se shikast khayi.

Mumbai ne Rajasthan ke khilaaf 195 ka mazboot score banaya lekin Rajasthan ne 18.2 over mein 196 runs bana kar match jeet liya. Difai Champion Mumbai ko yeh match Virat Kohli ki qayadat mein Bangalore ki team ke khilaaf jeetna hoga. Bangalore bilashuba pichla match ganwaya hai lekin yeh team is season mein zabardast form mein nazar aa rahi hai. Pichlle match mein Bangalore ne 145 runs banaye thay jabkay Chennai ne 150 runs bana kar match jeet liya tha. Kohli ne match ke baad kaha ke Tournament mein tamam teams ke achay khiladi mojood hain aur dekhna yeh hai ke match ke din kon behtar karkardagi dikha sakta hai. Bangalore team bhi umdah karkardagi ka muzahira kar rahi hai aur hum aglay khail mein zaroor wapas ayen ge.

Dono teams ka 28 September ko match huwa tha aur is match mein dono teams ne 201 runs banaye thay. Is ke baad Bangalore ne Super Over mein match jeeta. AB de Villiers ne 55 runs banaye thay aur Super over mein bhi team ko jetaya tha. Abu Dhabi mein dono teams ke mabain yeh match yakeeni tor par dilchasp hoga aur dono teams Playoff mein jagah yakeeni bananay ke liye utrain gi.