India

Mulk mein be rozgari ki sharah 3.5 feesad

By News Desk Roman Urdu

July 03, 2019

New Delhi: Hukoomat ney Mulk mein rozgaar ke mawaqay khatam honay aur be rozgari badhne ke daaway ko mustard karte hue Rajya sabha mein kaha ke masla behtar mauqe aur hasb khwahish rozgar ka hai. mazdoori aur rozgaar ke wazeer Santosh Gangawar ney parliment mein ek zimni sawal ke jawab mein kaha ke Mulk mein be rozgari ki sharah duniya mein sab se kam 3.5 feesad hai.

Unhoun ney aalmi idaara mehnat ( International Labour Organization ) ke adad wo shumaar ke hawalay se kaha ke China mein be rozgari ki sharah 4.7 feesad aur asia khittay mein 4.2 feesad hai. asli masla be rozgari nahi hai balkay behtar mauqa aur hasb khwahish rozgaar haasil karne ka hai. har koi mustaqil aur sarkari mulazmat chahta hai. unhoun ney kaha ke ghair munazzam shoba may 40 crore afraad kaam karte hain aur hukoomat is shoba ki taraqqi ke liye paband ehad hai.

Hukoomat ki koshisho se musalsal teen baras eke k crore rozgar ke mawaqay paeda hue hain. Gangawar ney kaha ke 2014 taa 2019 union public service commission ney do laakh 45 hazaar 470 ohdoun par bharti ki hai. alawa azeen railway bharti board, institute of banking personal selection aur deegar idaroun ney bhi asamiyan nikaali hain. unhoun ney mazeed kaha hai ke March 2018 tak hukoomat ki mukhtalif wazaraton aur mehakmon mein group C ke 33 laakh 47 hazaar 498 ohdoun ko manzoori di gayi thi jin mein se 27 laakh 73 hazaar 209 ohdoun par taqarurat huien aur paanch laakh 74 hazaar 289 ohday khaali they. unhon ney kaha ke har saal 10 feesad se 12 feesad ohday khaali ho jatay hain jinhen bharnay ka amal taqreeban ek saal tak chalta hai. –YTN STAFF