India

Mujrimon ko siyasat se door rakhnay Parliament iqdaam kare: SC

By News Desk Roman Urdu

September 25, 2018

New Delhi. Duniya ki sab se badi jamhoriat mein siyasat ki tajreem ko ”Pareshan kun” qarar dete huwe Supreme Court ney Parliament se kaha ke iss laanat se nimatney iqdamaat waza kare. Supreme Court ney Parliament par chod diya ke mujremana ilzamaat ka saamna karne walay umeedwaron ko intekhabaat mein muqaabla karne se baz rakha jaye ya phir unhen sirf isi soorat mein na ahel qarar diya jab unhen saza hojati hai. Adalat e Uzma mafaad aama ki darkhwaston ki samaat kar rahi thi jis mein yeh istedua ki gayi ke kisi fard ke khilaaf adalat ki janib se fard e jurm aayed kiye janey ke baad usay intekhabaat mein muqaabla karne se na ahel qarar diya jaye. Chief Justice Mr. Justice Deepak Misra ki zair e qiadat 5 rukni bench ney umeedwaron ko hidaayat di ke intekhabaat mein muqaabla karne se qabal Election Commission ko apne mujremana pas e manzar se aagah kare. Chief Justice ney faisla sunaate huwe badunwani ko ”Qaumi iqtesadi daheshatgardi” qarar diya. Adalat ney siyasi partiyon aur umeedwaron se kaha ke hamaray jamhoori nizaam mein badhtay mujrimaana waqhiyat par rok laganey parcha namzadgi daakhil karne ke baad kam az kam teen martaba apne mujremana records ke baarey mein akhbarat aur Television Channels ke zariya aagah kare. Adalat ney kaha hai ke  shahrion ka yeh haq hai ke woh apne umeedwaron ke maazi ke baarey mein aagah rahay. Supreme Court ney siyasi partiyon ke liye yeh laazim kardiya ke apni Website par apne umeedwaron ke baarey mein tamam tafseelaat faraham kere. Iss ney yeh bhi hidaayat di ke siyasi umeedwaron ke baarey mein Print aur Electronic Media mein wasee tar tashheer ki jaye. Fi al-waqt sangeen juraim jaisay qatal, asmat raizi aur aghwaa ke ilzamaat mein saza paney walon ko intekhabaat mein muqaabla karne se baaz rakha gaya hai. Mubahis ke douran Attorny General Mr. K.K Venugopal ney markazi hukoomat ki numaindagi karte huwe kaha ke qasoorwaar saabit honey aik fard ko masoom samgha janay ke nazriya ka hawala diya aur kaha ke aik fard ko aik party ticket par intekhabaat mein muqaabla karne se mahroom karna iss ke haq e raaye dahi se inkaar hai jis mein muqaabla karne ka haq bhi shaamil hai. Darkhwaston par markazi hukoomat ki janib se mukhalifat karte huwe bayan diya ke yeh adalat ke dairakaar mein nahi hai ke woh na ahliat ke liye naye paimaney muqarrar kere.