India

Mujahid-e-azadi Hind captain abbas Ali ki tasweer Lal qila ki zeenat

By News Desk Roman Urdu

November 08, 2019

New Delhi : Netaji Subhash Chandra bose ki azad hind fouj ( INA ) may captain rahay aur mujhadi jung-e-azaadi captain Abbas Ali ki tasweer Delhi mein waqay lal qila mein Subhash Chandra bose aur azad hind fouj ki yaad mein banaye gaye museum mein numaya tour se lagai gayi hai.

Netaji ki 122th saalgirah ke mauqa par is saal 23 January ko wazeer-e-azam Narendra Modi ne Delhi mein lal qila ke andar banaye gaye is museum ka iftitah kiya tha. is waqt kaha gaya tha ke is Museum mein Subhash Chandra Bose unke sathiyon aur aazad-e-Hind fouj se jari cheeze rakhi jayengi. 3 January 1920 ko Uttar pradesh ke Bulandshahr zila mein qalandar gadhi, kharja mein paeda hue Abbas Ali bachpan se hi sardar Bhagat Singh ke inqalabi afkaar se mutasir they. woh pehlay noujawan Bharat sabha aur phir student federation ke rukan banay. 1939 mein Aligarh Muslim University se Intermediate ki taleem ke baad doosri aalmi jung ke douran Bartanwi fouj mein bharti hogaye aur 1943 mein Japan ne Inhen Malyasia  mein jungi qaidi banaliya.

Isi douran wo Netaji Subhash Chandra Bose ke zareya banai gayi azad-e-hind fouj mein shaamil hue aur mulk ki azaadi ke liye ladai ladi. 1945 mein Japan ki shikast ke baad Bartanwi fouj ne inhen Imphal mein jungi qaidi banaliya. inhen Multan ke qila mein rakha gaya aur phir court marshal kiya gaya aur sazae mout sunai gayi lekin 1946 mein Uboori hukoomat ban jaane aur mulk azad honay ke elan ki wajah se raha kardiye gaye.

Mulk azad hojane ke baad 1948 mein captain Abbas Ali , Acharia naredra dev, jaya prakash narayan aur Dr ram manohar lohaiya ki qayadat mein socialist party mein shaamil hogaye aur 1966 mein Uttar pradesh United Socialist Party aur 1973 mein Socialist Party, Uttar pradesh ke wazeer mumlikat muntakhib hue. 1967 mein Uttar pradesh mein pehlay joint legislature party aur phir choudhry charan singh ki qayadat mein pehli ghair cogressi hukoomat tashkeel dene mein ahem kirdaar adakiya.

Captain abbas Ali emergency ke douran 77. 1975 mein 19 mah tak bulandshahr, Bareli aur nini central jail mein DIR aur misa ke tehat qaid rahay. 1977 mein janta party ki tashkeel ke baad sab se pehlay reyasti sadar banaye gaye aur 1978 mein 6 barsoun ke liye Legislative council ke liye muqarrar hue.

Captain Abbas Ali zindagi bhar samaji tour se istehsal ka shikaar mehroom, ghareeb aur samaaj se katay hue rehne walay logoun ke darmiyan kaam karte rahay aur azad Hindustan mein ghareeb, kisaan aur mazdooroun ke haq ke ladai ladtey hue aur nafarmani karte hue 50 se ziyada martaba mukhtalif awam tehrikoun mein jail gaye.

Saal 2009 mein unki Autobiography na rahoun kisi ka dast-nagar raj kamal prakash, Delhi ne shaya kiya tha. 94 baras ki umar main wo 11 october 2014 ko is jahan faani se coach kargaye. –YTN STAFF