New Delhi : Hindustan jo is waqt muashi bohran se dochar hai aur awam kaafi pareshan hai ke anay walay waqt mein yeh bohraan mazeed sangeen soorat-e-haal ikhtiyar kargaya to kiya hoga?
Doosri janib ab baen baazu ki 5 jamaaton ney mulk mein muashi kasaad bazari mazeed sangeen honay ka ilzaam lagatay hue is ke khilaaf qaumi satah par tehreek chalanay ka mansoobah banaya hai aur iske liye 20 September ko yahan ek conference karne ka elaan kiya hai.
Marxist Communist party ( CPIM ), Hindustani Communist party ( CPI ), Forward bock, revolutionist socialist party ( RSP ) aur CPI ney yahan jari mushtarqa bayan mein yeh elaan kiya.
Sitaram Yechury, CPI ke general secretary D.Raja , Forward bock ke secretary general Debabrata Biswas, CPI ke general secretary Bhattacharyya aur are SP ke Chati goswami ney ek bayan mein kaha hai ke woh 20 sep ko apna action plan tayyar karne ke liye ek ijlaas munaqid karinge jis mein tamam jamhoori jamaaton aur awam se appeal ki jayegi ke woh is muhim mein shaamil hon aur awam ko batayen ke mulk mein muashi bohraan door karne ke naam par corporate gharanoun ko faida pohanchaya ja raha hai. un leadron ney mazeed kaha ke hukoomat ney guzashta dinon 70 hazar crore rupay mein infrastructure ki taraqqi ke liye sarmaya kaari karne ka faisla kiya hai. is ke bajaye rozgaar paeda karne chahiye they aur awam ki quwat khareed badhani chahiye, lekin hukoomat is taraf tavajja nahi day rahi hai. –YTN STAFF