India

MP ke riyasti congress sadar ka ohda na milnay par Party chodh sakte hain Scindia

By News Desk Roman Urdu

September 04, 2019

New Delhi / Bhopal : Reyasti party ke naye sadar ke intikhab ko lekar Madhya pradesh congress ke rehnumao Jyotiraditya Scindia, Kamal Nath aur Digvijay Singh ke beech Iqtidaar ki jaddo jehed ke darmiyan congress high kamaan mushkil mein hai, aur riyasat mein party ka wujood khatray mein hai. reyasti party ki safoun mein baghawat ki lehar phail gayi hai. zaraye ke mutabiq agar scindia ko apne liye ya apni pasand ke qaied ke liye ohda nahi milta hai to scindia ke party chodnay ke imkaan ko mustard nahi kia jasakta hae.

Pandrah saloun ke baad Madhya pradesh mein congress party Iqtidaar mein aayi hai, Scindia ko nai hukoomat ki himayat mein bulaya janeka etemad tha, lekin reyasti congress ke sarbarah kamalnath nay party qiyadat par ghalba haasil kiya, jiski wajah se woh wazeer-e-aala ban gaye. lekin ab congress naye reyasti sadar ki talaash mein hai, to scindia ko apne liye ek mauqa nazar aata hai. magar kamal nath is ohday par apne aadmi ko Faiz karna chahtey hain. is silsila mein scindia nay 2 baar Sonia gandhi se mulaqaat kar chuke hain. congress ki uboori sadar se unki aakhri mulaqaat ke baad, kamal nath ko Delhi bulaya gaya.

Is douran, scindia ke haami giroh, jis mein congress ke zilai sadar ashok dangi aur morina ke zilai chief rakesh movie bhi shaamil hain. agar reyasti party ke sarbarah ke intikhab mein scindia ko nazar andaaz kiya gaya to woh baghaawat karne ki dhamki day rahay hain. Dangi nay kaha ”Riyasati congress ke kuch rehnumao ko scindia ki maqboliat hazem nahi horahi hai aur inhen Madhya pradesh se door rakhnay ki saazish ki ja rahi hai. Madhya pradesh PCC saddar ke ohday par scindia ko Faiz karne ka mutalba karte hue congress rehnuma dharna kar rahay hain.

Zaraye ka kehna hai ke Madhya pradesh mein congress ke 114 arkaan-e-assembly mein se 25 arkaan assembly Scindia haami hain, agar scindia istifa dete hain to un mein se kam az kam 15 arkaan party chodh denge. scindia ke BJP mein shaamil honay ke imkanaat se bhi inkaar nahi kiya jasakta, kyunkay unka kumba taweel arsay se Bhagwa party ke qareeb raha hai. unki nani Vijayaraje Scindia  se lekar unki aunty Vasundhara Raje scindia tak sabhi BJP leader rahay hain. haal hi mein Dehli mein BJP sadar Amit Shah se Jyotiraditya  scindia ki mulaqaat ki khabrain samnay aaye theen.

Congress ke rukan-e-parliment unit ke secretary vikas yadav nay kaha ke party nay sirf scindia ka istemaal kiya aur phenk diya hai. unhon nay kaha ke ”jab intikhabaat hotay hain to inhen agay badhaya jata hai, lekin jab unki shiraakat ko tasleem karne ka waqt agaya hai to inhen nazar andaaz kiya gaya hai. –YTN STAFF