Health

Motay Honay Ki Wajah Aap Ke Jeb Mein Hosakti Hai

By News Desk Roman Urdu

July 12, 2019

Amsterdam : kiya  aap jismani wazan mein izafay se pareshan hain, woh bhi is waqt jab ziyada khanay se garaiz karte hain ya warzish bhi karte hain, to is ki wajah aap ke haath ya jeb mein hosakti hai aur woh hai aap ka smart phone ya tablet. jee haan raat ko smart phones ya tablet ka istemaal meetha khanay ki khwahish badhata hai jis ke nateejay mein jismani wazan badhta hai. yeh daawa netherland aur France mein honay wali aik tibbi tahaqeeq mein samnay aaya.

Netherland university ki mushtarqa tahaqeeq mein chuhoun par tajarbaat ke douran is baat ko daryaft kiya  gaya. tahaqeeq mein bataya gaya ke un alaat se kharij honay wali neelii roshni mein ek ghanta rehna bhi chuhoun ki khanay ki khwahish par asrandaz hota aur aglay din naaqis ghiza ke istemaal ka imkaan badh jata.

Un janwaroun ke Blood sugar ki satah oopar ki janib jati hai jis ke baais jism shakar ko hal karne se qassar hojata jo ke diabities se qabal ki ek intibah  ki nishani hai. mohaqiqeen ne kaha hai ke nataij se un shawahid ko taqwiyat millti hai ke raat ko bohat ziyada phones ka istemaal motapay ka baais ban sakta hai. is tahaqeeq ke douran chuhoun ko raat mein neeli roshni mein rakha gaya aur aglay din dekha gaya ke woh kiya  khatay hain. un chuhoun ko din mein bedar rakha gaya jabkay raat ko sulaya gaya taakay woh insani jismani ghadi ki ziyada behtar naqal kar saken.

Un chuhoun ko mutawazan ghiza, cheeni ke pani, charbi aur pani par mushtamil 4 ghizaoun ko muntakhib karne ka mauqa diya gaya aur maloom hua ke neeli roshni mein rehne ke baad chuhoun ne ziyada cheeni ko tarjeeh di jabkay unke jism mein glucose ki bardasht par bhi manfi asraat muratab hue. mohqiqeen ne kaha hai ke yeh sirf ek raat ka asr thalikn waqt guzarnay ke sath is se motapay aur diabetes mein mubtala honay ka imkaan badhta hai. is tahaqeeq ke nataij society for the study Injestiyou Behavior ki salana conference mein paish kiye gaye. –YTN STAFF