Slider

Monsoon Telangana se rukhsat hogaya

By News Desk Roman Urdu

October 27, 2020

Hyderabad: Sakht garmi ke baad zaroorat se ziyada barish aur khaas tor par riyasat Telangana ke dar-al-hukoomat Hyderabad ko tabah karne walay sailaabon ke nateejay mein baday pemanay par tabahi jis se senkadon khandan be ghar hogaye jis ke baad ab janoobi maghribi Monsoon Telangana ko ’Alvidah’ kar raha hai. Agarchay Musi nadi mein pani ki satah mein kami ek misbet alamat ki hesiyat rakhti hai lekin Musi Nadi ke dono taraf ki sorat-e-haal is saal Monsoon ke zareya tabahi phelanay ki tareekh raqam kar chuki hai.Hindustani mehakma mosmiyat Hyderabad ke mutabiq peer ko junoob maghribi Monsoon Telangana ke kuch hisson se dastbardaar hochuka hai aur charshumbe ke aas paas Telangana ke baqi hisson aur mulk bhar se dastbardaar honay ka imkaan hai. Is ke sath hi Tamil Nado aur Puducherry, Sahili Andhra Pradesh aur Karnataka aur Kerala ke mulhiqa ilaqon mein bhi shumal mashriq Monsoon barish ka silsila khatam honay ka imkaan hai.Junoob maghribi Monsoon ki dast bardari ki lehar ab Cooch Behar Keonjhar, Nabarangpur, Eluru, Nalgonda, Nanded, Nashik aur Dahana ki taraf badh chuki hai. Ohdedaron ne kaha ke junoob maghribi Bengal mein tofani bhanwar ab junoob mashriq aur is se mulhiq wasti khaleej Bengal mein waqay hai aur is ki satah samandar se 1 Kilometer tak hai. Telangana mein Monsoon 12 June ko pouncha aur ek hafta mein poori riyasat ka ihata kiya. Monsoon ke aaghaz ke baad se riyasat ke deegar hisson ke sath Hyderabad mein bhi har mah behtar barish hui jis ke sath hi shehar ki tareekh mein ab tak ki sab se ziyada barish Record ki gayi hai.Telangana State Development Planning Society ( TSDPS ) ke adad-o-shumaar ke mutabiq is Monsoon mein Hyderabad mein mamool ki barish jo kay 663.3 millimeter hoti hai is ke bar aks is saal 1249.3 millimeter barish Record hui jabkay Rangareddy aur Medchal. Malkagiri ne bal tarteeb 1134.4 millimeter aur 1178.1 millimeter barish Record ki.IMD ki janib se mausam ki pesh qiyaasi se zahir hota hai ke rawan mah ke aakhir tak baarisho ki mazeed sargarmia nahi hon gi. Taham mausam sarma se pehlay Hyderabad mein is haftay ke douran juzwi tor par abar alood aasman rahay ga aur kam se kam darja hararat 20 degree centigrade tak rahay ga.