Hyderabad: Hindustan ke mehakma mosmiyat (IMD ) ne ettela di hai ke junoob maghribi Monsoon aglay 2 dinon mein shumali Hindustan ke kuch hisson se rukhsat hojaye ga. Adaad-o-shumaar ke mutabiq majmoi tor par mulk mein 26 September tak mamool se 9 feesad ziyada barish hui hai. Mehakma mosmiyat ka kehna hai ke 28 September se maghribi Rajasthan aur is se mulhiqa ilaqon se Monsoon ki rukhsat ke liye halaat sazgaar hojaye ga.
Khangi maher mosmyati Skymet weather ke naib sadar Mahesh Palawat ne kaha hai ke barish mein kaafi had tak kami waqay hui hai. Palawat ne kaha maghribi Rajasthan se Monsoon ki wapsi paiir se shuru honay ka imkaan hai. Aisa lagta hai ke Monsoon kisi aam Note par wapas aajay ga. Long period osat ( LPA) ke 96 se 104 feesad ki had mein honay wali barish ko mamool ki barish samjha jata hai, Jabkay LPA ke 104 se 110 feesad ki had mein barish ziyada hoti hai. 9 reyaston mein ziyada barish hui hai jabkay 20 reyaston mein mamooli barish record ki gayi hai.
Hindustan mein barish ka bazabta season yakam June se 30 September tak huta hai. Monsoon Kerala ke oopar yakam June ko puhanja yeh Monsoon ke aam aaghaz ki tareekh hai. June mein 17 feesad ziyada barish record ki gayi jabkay July mein 10 feesad kami waqay hui. Taham August mein ziyada barish hui aur is mah mein mamool se 27 feesad ziyada barish record ki gayi. Shumali Hindustan ke kuch hisson, Delhi, Himachal Pradesh, Jammu Kashmir mein barish ki kami record ki gayi. Wasti ilaqa Ladakh mein is saal barish ki ziyada kami record ki gayi hai.