New Delhi : Jamia Millia islamia ke taalib-e-ilm Mohsin Javed ki ek tasweer aqwam-e-mutahidda ke taleemi, science wo saqafati tanzeem UNESCO ke zair-e-ihtimaam munaqqid honay walay bain-ul-aqwami tasweerai muqablay mein muntakhib aur shaya hui hai .
“Youth Eyes on the Silk Roads” ( “Youth Eyes on the Silk Roads” ) ke mauzo par munaqqid is tasweerai muqablay mein duniya bhar se 100 se zayed mumalik ke 14 se 25 baras ki Umar ke nojawanon neh 6625 taswerain bhejen theen. saat aalmi shohrat Yafta Photographers par mushtamil aik bain-ul-aqwami jeori neh un mein se 60 behtareen tasweeron ka intikhab kiya aur jisay ek khobsorat kitabi shakal mein shaya kiya gaya hai. Mohsin Javed ki tasweer un 60 muntakhib tasweeron mein se ek hai. unhuon neh Dehli ke humayun ka maqbarah ke pani mein aks ki tasweer muqablay ke liye bhaije thi .
Mohsin Javed ko kitab ki ek copy arsaal karte hue UNESCO neh apne tehniti pegham mein kaha hai, aap ki Tasweeran 6625 tasweeron mein se ek thi jis neh apni mayaari, takhleeqi aur tanawu ki wajah se bain-ul-aqwami selection committee ko mutasir kiya. apni is kamyabi par UNESCO ki janib se mubarak baad qubool karen. UNESCO neh mazeed kaha hai ke jin 60 tasweeron ko muntakhib kiya gaya hai inhen duniya ke mukhtalif mulkon mein numayesh mein paish kiya jayega. ab tak China, Afghanistan , Azerbaijan, Oman , Rusia, Turkmenistan aur Paris mein waqay UNESCO ke headquarters mein is tarhan ki numayesh ka ineqad kiya ja chuka hai. anay walay dinon mein duniya ke deegar mulkon mein bhi yeh tasweerai numayesh munaqqid ki jayegi .
Jamia Millia islamia ke Media Coordinator ki taraf se jari ek bayan ke mutabiq Mohsin Javed Jamia palle techinc mein electrical engineering ke saal aakhir ke taalib-e-ilm hain. photography unka mashgala hai. inhen kayi muqablon mein inamaat mil chuke hain. America ki media company ke zair-e-ihtimaam taswerain faraham karne wali company Istock par unki mutadid tasaveer mojood hain. jab ke Germany ke public international Broadcaster idaara ( DW) ki Website aur Hindustan ke mutadid jrayed mein bhi unki taswerain shaya hochuki hai. mohsin Javed ko unki is kamyabi par asateza aur sathiyon neh mubarak baad di hai . –YTN STAFF