Mohammad Siraj shubhman Gill

Slider

Mohammad Siraj ne apna loha manwalya

By News Desk Roman Urdu

December 29, 2020

Hyderabad: Australia ke khilaaf dosray test mein Hindustan ki shandaar kamyabi mein ahem rule ada karnay walay hyderabadi fast bowler Mohammad Siraj ki team ke karguzar captain Ajinkya Rahane, sabiq captain sunil gawasakr aur deegar ne bharpoor sataish ki.

Rahane match ke baad Man of the match haasil karte hue kaha ke pehlay hi test match mein Siraj ne shandar karguzari ka muzahira kiya. un mein khud etmadi dikhayi di jo ek misbet alamat hai. Sunil gawaskar ne kaha kay Siraj ko Mohammad Shami ki jagah shaamil kiya gaya tha jinhoun ne apne intikhab ko poori terhan sahih saabit kya.

Sabiq cricketer sanjay manjrekar ke mutabiq Siraj kuch arsa se IPL aur mehdood dil jeet liye. wazeh rahay ke Mohammad Siraj pichlle saat saal ke douran test match mein paanch wickets lainay walay pehlay hindustani khiladi ban gaye jinhon ne dono inning mein Cameron green ko nishana banaya jabkay unhon ne labuschange ko pehiv inning ni ningo kiya. qabal azeen Mohammad Shami ne apne career ke pehlay test match mein 2013 mein Calcutta mein west indies ke khilaaf khailay gaye test match mein 9 wicktes liye thay.

kamyabi ka sehra Siraj aur Gill ki sir jata: Rahane

Hindustan ko boxing day test mein Australia ke khilaaf 8 wicket se shandaar jeet dilanay walay captain Ajinkya Rahane  ne kaha ke inhen apne sabhi khiladion par fakhr hai. Haqeeqat mein sabhi ne acha khail ka muzahira kiya. mein kamyabi ka sahra Mohammad Siraj aur shubhman Gill ke sir bandhna chahta hon.

Rahane  ne chouthay din match jeetnay aur series mein 1-1 ki barabari haasil karne ke baad kaha mujhe apne sabhi khiladion par fakhr hai jinhon ne shandaar wapsi karte hue team ko barabari dilae. mein is test mein career ka aaghaz karne walay khiladion Mohammad Siraj aur shubhman Gill ko mubarakbaad deta hon jinhon ne waqai lajawab karkardagi paish ki.

Captain ne kaha ke doosri inning mein zakhmi honay ki wajah se Umesh yadav ne taqreeban bowling nahi ki aisi haalat mein khiladion jo himmat dikhayi woh qabil tareef hai. 5 bowlers ko khailnay ki hikmat-e-amli ne hamaray liye kaam kiya. Hum ek all rounder ke baray mein soch rahay thay aur Ravinder Jadeja is ke liye sahih saabit hue. Gill ki jitni tareef ki jaye kam hai. hum sabhi unke first class career se waaqif hain aur is match mein unhon ne yeh dikha diya hai ke woh ounchay darjay ki cricket mein shot khailnay ki salahiyat rakhtay hain.

Rahane  ne mazeed kaha Siraj ne bhi yeh saabit kardiya hai ke woh discipline ke sath bowling kar saktay hain. Kisi dabao kar rahay khilari ke liye discipline ke sath bowling karna kaafi mushkil hota hai lekin un halaat mein hi first class cricket ka tajurbah kaam aata hai. Mohammad Siraj ne Melbourne mein australiyai batsmans ko apni bowling se pareshan kiya. Pehli inning mein 2 aur doosri inning mein unhon ne teen wicket haasil ki. Apne pehlay test mein paanch wicket haasil karkay unhon ne jo shuruvaat ki hai woh qabil tareef hai.