Slider

Mohammad Salah ne Ambulance Center ka toufa diya

By News Desk Roman Urdu

July 03, 2020

Cairo: Misar ki Football Team ke captain aur aalmi shohrat Yafta football team Liverpool ke maaya naz khiladi Mohammad Salah ney apne aabadi shehar mein Ambulance Center ka iftitah kiya hai jo ke maroof khiladi ki janib se apne aabadi shehar ke liye tibbi tohfa hai. Tafseelaat ke mutabiq Mohammad Salah ney is Ambulance Center ka iftitah Misar ki gurba ilaqay mein apne aabadi ilaqay Nagrid mein kiya hai jis ka elaan ilaqay ke Mayor Tarek Rahmy ney kiya.

Is mauqa par Mohammad Salah ke waalid Hajj  Salah Ghaly, Ambulance center ke incharge Dr Majdi Awad aur wizarat sahet ke numainday Dr Abdal Naser Hamida bhi mojood they. 6 lakh Misri Pounds ke atye se qaim kiya gaya ye center ilaqay ke 30 hazaar afraad ki khidmat kere ga. Ambulance center ka qiyam Star Football ki kher ke kamoun mein badh chadh kar hissay lainay ki taweel fehrist mein taaza tareen hai.

Saal 2018 mein apne ilaqay Gharbia mein ladkiyoun ke liye school imarat mein maali madad ki aur is ke sath qaata arazi ka atiyah kiya jahan peenay ke saaf pani ka planet lagaya gaya. Ye un ke flahi kamoun mein se chand ek hain. English football team Liverpool ki janib se khailnay walay maaya naz khiladi Mohammad Salah ney apne ilaqay ke ghurba ke liye tibbi samaan ki sahoolat ke sath masakin ke liye Khairati foundation bhi qaim kar rakhi hai.

Unhoun ney apne school mein football Ground aur jim bhi banava kar di hai jahan mojood sahulatoun ke baais talba aur deegar nojawan kheloun ki sar garmioun mein hissa letay hain aur lutaf andoz hotay hain. Haal hi mein Mohammad Salah ney coronavirus ke douran Basyam shehar mein logoun mein khana taqseem karne ki muhim bhi jari kar rakhi thi.

Apne ilaqay ke baher bhi un ki atiyah muhim ka samar jari hai aur unhoun ne 2016 mein ek khusoosi fund mein 5 million Misri Pounds. Guzashta saal unhoun ne 50 million Misri Pounds National Cancer Institute ko atiyah kiye they. Salah ko apne ilaqay mein khusihyan baantne walay ki urfiat se jana jata hai, Halaank wo football ground mein bhi tamashaiyoun ke pasandeeda khiladi hotay hain is ke bawajood maidan ke baher bhi un ki ek khaas shanakht aur ahmiyat hai.