India

Modi ka qoum se khitaab, Ghareeb awam phir nazar andaaz

By News Desk Roman Urdu

March 25, 2020

New Delhi: Wazeer e Azam Narendra Modi ne Coronavirus ke badhatay qehar ke pesh e nazar mulk ke awam se Lockdown ke douran gharoun par hi rehne ki Appeal karte huve kaha ke ghar se baher nahi jana hi is bemari se bachney ka wahid mutabadil hai lekin behtar hikmat e amli ka fuqdaan aur gareeb awam ki zindagi band se ju mutaser hogi is par hukoomat ko tanqeed ka nishana banaya hai. Congress ne Modi hukoomat par ilzaam lagaya hai ke is ne ghareeboun ke liye kuch nahi kiya. Modi ne qoum ke naam khitaab karte huve kaha kay agar 21 din gharoun ke andar Lockdown ke douran is Virus ki chain ko nahi toda gaya to mulk 21 saal peechay chala jaye ga.

Modi ne kaha kay Coronavirus ke baarey mein aap ye bhi dekh rahay hain ke kaisay duniya ke taraqqi yafta mumalik ko bhi is bemari ney be bas kardiya hai. Aisa nahi hai ke un ke paas wasail nahi hain lekin Coronavirus ke ilaaj ka ek wahid rasta samaji doori yani ek dosray se daur rehna, Apne gharoun mein band rehna hai. Coronavirus se bachney ka is ke alawa koi rasta nahi hai. Is virus ki cycle ko todna hi hoga. Congress ne kaha ke poora mulk wazeer e azam Narendra Modi ki mukammal Lockdown ki darkhwast maan-ne ko tayyar hai lekin Modi ko batana chahiye ke un ghareeboun ke 21 din kaisay kateinge jo dahadhi par apna pait paltay hain.

Congress ke mehakma muwasilat ke sarbarah Randeep Singh Sarjewala ne wazeer e azam ke qoum ke naam khitaab ke baad rad-e-amal zahir karte huve Twit kiya ke izzat maab Modi jee, Mulk to Lockdown ki har darkhwast manay ga. Lekin aap ne Corona waba ko roknay ke liye kiya kiya hai. Tibbi amlah ki hifazat kaisay hogi. Unhoun ne Modi se sawal kiya ke Corona se peda huve rozi roti ke baday bohraan ka hal kiya. Ghareeb, Mazdoor, Kisaan, Dukandaar, Dahadhi mazdoor ke 21 din kaisay katein ge.

Wazeer e Azam Narendra Modi ne Coronavirus ke sangeen khatray ke mutabiq logoun ko hooshiyar karte huve kaha kay wo Lockdown par sakhti se amal karen aur kuch dinoun tak ghar se baher niklana bhool jayen kyunkay jaan hai to Jahan hai. Unhoun ne kaha kay kuch logoun ki la parwahi kuch logoun ki ghalat soch, Aap ko aap ke bachoun ko, Aap ke walidain ko aap ke khandan ko, Aap ke dostoun ko pooray mulk ko bahet badi mushkil mein jhonk day gi. Modi ne kaha ke Coronavirus se bachney ke liye is ke alawa koi tareeqa nahi hai, Koi rasta nahi hai. Is Virus ko phelnay se rokna hai to is ki Cycle ko todna hi hoga. Mushra ke loog ek dosray se allag rahenge to ye bemari bhi un se daur rahay gi.

Modi ke is faislay par tanqeed ki jarahi hai kyunkay unhoun ne qoum se khitaab karte huve 21 dinoun ka Lockdown ka elaan kardiya lekin unhoun ne awam ko ye nahi bataya ke jo Doctors Coronavirus ke mareezoun ka ilaaj karra hain un ki hifazat ke liye kiya iqdamaat kiye gaye hain. Ghareeb awam ki bunyadi zaroriat jin mein Doodh, Tarkariyan, Ajnaas aur adwiyaat ki farahmi ka kiya intizam kiya gaya hai is ka koi elaan nahi huva. Lockdown ke douran sadkoun par apni khidmaat anjaam dainay walay Police waloun ke liye kiya iqdamaat kiye gaye hain is ke baarey mein Modi ne kuch nahi kaha. –YTN STAFF