India

Modi ka kehna hai mulk mein koe hirasati Camp nahi, Wazraa kehte hain 6 marakez mojood hain

By News Desk Roman Urdu

December 23, 2019

New Delhi: Wazeer aazam Narendra Modi ne daawa kiya hai ke mulk mein koe herasti marakaz nahi hain, Jabkay un ke wazraa ne kayi baar Lok Sabha ko mutala kiya hai ke Assam mein aisay 6 marakaz mojood hain. 19 November ko wazeer baraye dakhla Nityanand Rai ne Lok Sabha ko mutala kiya ke ”Ghir qanooni tarkin watan ya ghair mulkioun ko nazar band karne ke liye un ki zaroorat ke mutabiq riyasat ya Union intizamia ke zariye herasti marakaz qaim kiye gay hain. filhal, Sirf Assam riyasat mein nazar band marakaz qaim kiye gay hin“.

Assam ke Barpeta halqa se talluq rakhne walay congress ke rukan parliament ki janib se uthae gaye sawal ke jawab mein raye ne kaha. 13 November tak Assam mein 6 herasti marakaz mein majmoi tor par 1043 ghair mulki muqeem hain. Unhoun ne ittila di ”an marakaz mein majmoi tor par 1,025 Bangladeshi aur 18 Myanmar ke hin“.

Rai ne 2 July ko ewaan parliament ko aagah kiya ke tamam reyasti hukoomatoun aur markazi ilaqa intizamia ko hidaayat ki gayi hai ke woqtan fogtan khair qanooni naqal-o-harkat par pabandi ke liye 2009, 2012, 2014 aur 2018 mein nazar band marakaz qaim karen. Jis mein ghair mulki shehri rehna, Taakay wo fori tor par watan wapsi aur mulk badal ke liye har waqt dastyab hon.

Unhoun ne ye bhi kaha ke chunkay ghair qanooni tarkin watan“ bakhair kisi khufia aur ghair maqool tareeqay se, Durust safri dastawizaat ke baghair mulk mein daakhil hove hain, Lehaza mulk mein aisay ghair qanooni tarkin watan ki tadaad ke baarey mein kaway hamza durust aadad-o-shomar maujood nahi hin“. Ye pehli baar tha, Jab ewaan ko mulk mein aisay marakaz ke baarey mein bataya gaya. Herasti marakaz ki batein is waqt manzar aam par ayen, Jab mulk mein shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) aur National Register of Citizenship ( NRC ) ke khilaaf ehtijaj jari hai.

Wazeer aazam Narendra Modi ne itwaar ke roz Ram Lila maidan mein apni takreer mein kaha ke CAA kisi bhi hindustani ke liye nahi hai, Koya wo musalman ho ya Hindu“. Ye parliament mein kaha gaya tha aur parliament mein kisi bhi ghalat bayani ki ijazat nahi hai“. Modi ne kaha ke oppostion jamaten ye afwahen phela rahi hain ke tamam musalmanoun ko nazar band marakaz mein bhaij diya jayega. Qaumi dar-ul-hukoomat mein awam se khitaab karte hue Modi ne kaha ” na musalmanoun ko nazar band marakaz mein bheja ja raha hai aur na hi mulk mein koe herasti marakaz mojood hin“.

Taham, 16 July ko, Wazeer mumlikat baraye umoor dakhla Kishan Reddy ne kaha ke Assam mein herasti marakaz ko ghair mulki shehrioun ( DFN ) ko band karna hai, Jin ghair mulkioun ku qusoorwar thehraya hai. Aur Jinhoune ne apni saza poori kar li hai. Un 6 marakaz mein Goalpara, Kokrajhar, Silchar, Dibrugarh, Jorhat, and Tezpur, hain, jimien 28 November tak 970 loog rehtay hain.

Assam mein nazar band marakaz tamam reyastoun aur markazi ilaaqoun mein ghair mulki act 1946 ke section 3 ( 2 ) ( e ) ke tehat qaim kiye gaye hain.

Unhoun ne kaha ke wizarat dakhla ne amal dar aamad aur tameel ke liye center model hirasati markaz ya holding center ya camp Manual jari kiya hai. Model Detention Center, Manual, Generator, Peene ka pani, saaf suthray bestroun ke sath rahaish, pani aur bijli samait, Munasib ghusal khanaay, Bathrooms samait muwasilat aur tibbi sahuliyaat, Bawarchi khanaay aur tafrehi sahuliyaat faraham ki gayi hain.

2 July ko Reddy ne kaha ke ”Herasati marakaz mein rehne walay bachoun ko qareebi muqami schooloun mein taleemi sahuliyaat faraham jee jayengi. Kishan Reddy ne congress ke rukan parliament Shashi Tharoor ko ek aur jawab mein bataya ke 25 June tak 769 afraad ek saal se ziyada arsay se un hirasati marakaz ( Assam ) mein rakha gaya hai.

Reddy ne bataya ke 25 June tak Assam ke 6 hirasati marakaz mein 1, 133 afraad ko hirasat mein liya gaya tha, Jin mein se 335 afraad ko 3 saal se ziyada waqt tak rakha gaya hai.Reddy ne 10 decemeber ko lok sabha ko mutala kiya ke Assam mein pichlle 6 mahino mein ghair mulkioun ko hirasat mein liye jaany walay kisi bhi hirasati camp mein khud koshi nahi hui hai. 3 decemeber ko, Unhoun ne ittila di ke khawateen aur mard hirasat mein alehda kamroun mein rakhay gaye hain, Jin mein munasib aur bunyadi sahuliyaat hain.

Wazeer baraye umoor dakhla Kishan Reddy ne mazeed kaha ke ”Oh loog insani waqar ke sath jee rahay hain aur kisi bhi bunyadi sahuliyaat se mahroom nahi hain. Hirasati marakaz mein khawateen qaidyoun ke sath zayad-ti ki koi it-tila-aat nahi hain. Aur zair hirasat afraad ko apne kunba ke afraad aur qanooni musheeroun se milne ki ijazat hai aur is silsilay mein koe pabandi nahi hai. –YTN STAFF