India

Modi aur Shah ne CAA se mutaliq jhoot bola, Wo jamhoriat par ”Laanat “ Hai : kapil Sibal

By News Desk Roman Urdu

January 21, 2020

New Delhi: Congress ke senior rehnuma Kapil Sibal ne mangal ko wazeer aazam Narendra Modi aur wazeer e dakhla Amit Shah par shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) par qoum se jhoot bolnay ka ilzaam lagaya aur kaha ke wo jamhoriat ke liye ”Laanat“ hain. Sibal ka ye tabsarah bain ul aqwami maliyati fund ( IMF ) ki taraf se peer ke roz hindustan ki muashi sust rawi ki pesh goi ko rawan maali saal ke liye 4.8 feesad karne ke baad samnay aaya hai.

Sibal ne Twitter par kaha ke ”IMF “ne 2019 ke liye hindustan ki GDP mein 4.8 % kami kar di hai. Congress rehnuma ne kaha ke mazhab ko buneaad banakar shehriat dainay ka zikar ayeen mein kahin nahi hai., Lekin Modi aur Shah aisa karna chahtay hain, Lehaza hum is ki mukhalifat kar rahay hain. Unhoun ne UP hukoomat par ilzaam lagaya ke jin logoun ke paas kaghzat nahi hain, Un ko shehriat di ja rahi hai. Kapil Sibal ne CAA ke muamlay mein 9 nakaat ka zikar kiya aur kaha ke hukoomat CAA se munsalik un tamam masail par jhoot bol rahi hai.

Kapil Sibal ne kaha ke wazeer aazam aur wazeer e dakhla ne CAA ke baray mein jhoot phelaaye hain.

Pehla jhoot : Wazeer aazam aur wazeer e dakhla ne kaha ke CAA imtiazi sulooq nahi hai. Unhoun ne kaha ke ayeen mein hindustan ki shehriat ke liye 5 daf-aat hain, Jin mein kahin bhi mazhab ka zikar nahi hai. 1955 ke shehriat Act mein bhi woi daf-aat mojood hain.

Dosra jhoot : CAA ka NRC se koe vaastaa nahi hai. April 2019 mein, Amit Shah ne kaha ke pehlay CAB aaye gi, Phir NRC aayegi. 9 decemeber 2019 ko, Amit Shah ne Lok Sabha mein CAB ko manzoor karne ke baad mulk geer NRC ki baat ki. Aisi surathaal mein, CAA aur NRC se inkaar nahi kiya ja sakta.

Teesra jhoot : Modi ne 22 decemeber 2019 ko ek rally mein kaha tha ke un ki hukoomat anay ke baad NRC par koi behas nahi hui hai. Jabkay 20 June 2019 ko parliament ke mushtarqa ijlaas se sadar ke khitaab mein, Kaha gaya tha ke buneadi tor par is par amal dar aamad kiya jaye ga.

Choutha jhoot : NRC ke amal ko nah to mutala kiya gaya hai aur nah hi ye qanooni hai. Ye mukammal tor par baatil hai, Kyunkay jab 2003 mein NRC ko apnaya gaya tha, To is ke Article 14 ( A ) mein ye zikar kiya gaya hai ke ye qanooni hai aur mulk ke har shehri ke paas shanakhti card mojood hai.

Panchawan jhoot : NRC abhi shuru hona baqi hai, Jabkay yakam April se NRC ka Notification jari kar diya gaya hai.

Chatva jhoot : NPR ka NRC se koi talluq nahi hai. Wizarat dakhla ki salana report 2018-19 mein mein kaha gaya tha ke ”NRC ko nafiz karne ke liye ye pehla qadam hai.

Satwaan jhoot : kisi bhi hindustani ko khaufzadah honay ki zaroorat nahi hai, Jabkay hamaray sabiq sadar Fakharuddin sahib ke ahal khanah, Kargil War award yafta Sanaullah Khan ka naam Assam ke NRC mein nahi tha. Ab aisi sorat e haal mein ek ghareeb ka naam hi khatam ho gaya, Wo kiya kere ga.?

Aathwan jhoot : Modi ne kaha ke mulk mein koi hirasati markaz nahi hai. Jabkay sirf Assam mein 6 hirasati marakaz mein 988 loog qaid hain. January 2019 hukoomat hind ne nazar bandi markaz qaim karne ki hidaayat ki.

Nawan jhoot : Muzahiroun ke khilaaf koi taaqat istemaal nahi ki gayi. Akailey UP mein 28 afraad halaak hue. Logoun ke makanaat nazar aatish hogaye, Dukanain jal gayeen, Gharroun mein daakhil ho kar logoun ko mara gaya. Aur BJP hukoomat jhoot bol rahi hai. –YTN STAFF