India

Modi aur Amit Shah ke khilaaf Congress Supreme court se ruju

By News Desk Roman Urdu

April 30, 2019

New Delhi: Congress leader Sushmita dev ne lok sabha intikhabi muhim ke douran zabita-e-ikhlaq ki khilaaf warzi ke hawala se Wazeer-e-Azam Narendra Modi  aur BJP  sadar Amit Shah ke khilaaf Supreme court mein arzi daakhil ki. Cheif justice Ranjan Gogoi  ki sadarat wali bench ne kaha ke congress leader ki darkhwast par mangal ko samaat ki jayegi. darkhwast mein kaha gaya hai ke All India Khawateen Congress sadar aur rukan-e-parliment Dev ki janib se Modi  aur Shah ke khilaaf intikhabi zabita e ikhlaq ki khilaaf warzi ki kayi baar shikayat kiye jane ke bawajood Election Commission koi qadam nahi utha raha hai. Rukan-e-parliment ki janib se adalat mein mojood congress leaders senior wakeel Abhishek  ne kaha BJP sadar aur Wazeer e Azam ne apni taqriroun ke douran kayi martaba zabita e ikhlaq ki khilaaf warzi ki hai aur Election Commission dev ki shikayat par tavajja nahi day raha hai .

Darkhwast mein kaha gaya hai ke Modi ne teesray marhala ki raye dahi ke din 23 April ko ek road show ke douran zabita e ikhlaq ki khilaaf warzi ki thi .

Daren asna intikhabi commission ne khawateen wo atfal  ki taraqqi ki markazi wazeer Mayenka Gandhi ko Uttar pardesh ke Sultan pur mein ki gayi taqreer ko intikhabi zabita e ikhlaq ki khilaaf warzi qarar diya hai aur is ke liye unhein intibah diya hai aur mustaqbil mein uska irada na karne ki Hadayat di hai. Commission ne Sultan pur ke Sarkoda gaon mein Mayenka ke 14 April ko intikhabi rally ke douran ki gayi taqreer ki video clip ka mutalea kiya aur nateeja akhaz kiya ke unhon ne apni taqreer mein intikhabi zabita e ikhlaq ki khilaaf warzi ki hai. commission ne ek hukum mein yeh baat kahi hai .

Wazeh rahay ke 16 april ko commission ne Mayenka Gandhi par ek deegar maamla mein intikhabi zabita e ikhlaq ki khilaaf warzi ke ilzaam mein 48 ghantay ke liye intikhabi muhim mein hissa lainay se rokkk diya tha. commission ne Mayenka Gandhi ko muntabba kiya hai ke woh aindah is tarha ki taqreer dobarah na karen .– YTN STAFF