Hyderabad

Moazzam Jahi market ke sanitary ware ki dukaan mein lagi aag

By News Desk Roman Urdu

October 12, 2019

Hyderabad : Shehar ke masroof tareen Moazzam jahi market ilaqay mein hafta ke roz ek Sanitary ware ki dukaan mein aag lag gayi. jiske baad is tijarti ilaqay mein khauf wo haraas phail gaya. fire hukkaam ke mutabiq aag hafta ki subah saadhay 7 bajey ke qareeb, imarat ke ground floor mein lagi, jahan sanitary ware ki dukaan waqay thi.

Is dukaan mein Sanitary ware ke badey paemanay par stock tha, jis mein plastic PVC pipe aur isi tarhan ke deegar samaan shaamil hai. bhayanak aag ki wajah se dhuwan nikal raha tha. Gowliguda ke do fire tender aag par qaboo panay ki koshish kar rahay they. –YTN STAFF