Slider

Moanawazoun ka 25 July ko Telangana band

By News Desk Roman Urdu

July 21, 2020

Hyderabad: Inqalabi musannif Varavara Rao ki fori rihayi ka mutalba karte hue CPI Maoist Telangana state committee ney is mah ki 25 tareekh ko Telangana band ki Appeal ki hai. Committee ney mutaliqa hukkaam par zor diya ke wo fori tour par jail se Varavara Rao aur dusron ki rihayi ko yaqini banaye. Sath hi janglati ilaaqoun se Greyhounds ke arkaan ko wapas talabb kiya jaye. Maoist party Telangana state committee ke tarjuman Jagan ney is silsila mein maktoob jari kiya hai. Moanawazoun ney ye bhi mutalba kiya ke Varavara Rao jo Bhima Koregaon maamla mein mulzim hain ke ilawa deegar tamam siyasi qaidyoun ke sath sath 60 baras se zayed omar walay qaidyoun ki rehaie ko yakeeni banaya jaye.