Jurm

MMK rehnuma ne IIT-M ki Taliba ki khud kushi ki tehqiqaat ka mutalba kiya

By News Desk Roman Urdu

November 13, 2019

Chennai : Manitheneya Makkal Katchi (MMK)  rehnuma M.H. Jawahirullah ne chaharshambe ke roz crime branch crime investigation department ( CBCID ) ke zareya Indian institute of Technology Madras ( IIT-M ) ki saal aawal ki Taliba Fatima lateef ki khud kushi ki tehqiqaat ka mutalba kiya hai.

IIT-M mein Humanities and Development Studies mein first year masters ki Taliba , fatima 9 November ko apne hostel ke kamray mein chhath ke pankhe se latakte hui mili thi. iske paas se ko yi khud kashi note nahi mila, iske mobile phone mein ek note mein iski mout ki wajah ke tor par kuch faculties ke naamoun ka zikar kiya gaya tha.

Ek bayan mein Jawahirullah ne bataya ke isne ladki ke waalid Abdul lateef se baat ki hai, jinhon ne ilzaam lagaya hai ke unki beti ke sath ek faculty ne mazhabi taasub barta hai. Jawahirullah ke mutabiq, fatima ke waalid ne inhen bataya tha ke ek baar professor ne unki beti ko 3 number kam diye they aur usay mehakma ke sarbarah ke notice mein laane ke baad iski islaah kardi gayi thi.

MMK rehnuma ne IIT-M mein talba ki khudkushiyoun ki CBI tehqiqaat karanay ka mutalba kiya . kerala ke Kollam  se talluq rakhnay wali fatima ek roshan taalib-e-ilm theen. unke waalid ne kerala ke wazeer-e-aala Pinarayi Vijayan ko ek yad-dasht di hai, jis mein unki beti ki mout ki tehqiqaat mein kerala hukoomat ki mudakhlat ki darkhwast ki gayi hai.

Guzashta ek saal mein IIT-M mein fatima sameit panchawan khud kushi ka maamla hai. IIT-M ke Humanities and Social Sciences department  ke ek ohdedar ne bataya ke is shoba ke sarbarah tabsaray ke liye dastyab nahi hain. –YTN STAFF