Trending News

Misar ki neher par Francesi sifaratkar ka mujasma, Ek naya tanaza

By News Desk Roman Urdu

July 09, 2020

Cairo: Misar mein neher Suez ki taamer ka khayaal dainay walay Francesi sifaratkaar Ferdinand de Lesseps ke mujasmay ki bandargaah saed par dobarah tanseeb ke muamlay ne Misar mein tanaza khada kar diya hai. Tafseelaat ke mutabiq is behas mubahisay mein hissay lainay walay hazaroun Misri shehrioun ne kaha hai ke is se noaabadyati daur ki yaad taaza ho jaye gi. Misrioun ne kaha hai ke is mujasmay ki tanseeb un ke liye tauheen amaiz saabit hogi. 1860 ki dahai mein is aabi guzar gaah ki taamer mein Misar ke hazaroun mazdooroun ne jaan ka nazrana pesh kiya tha.

Wazeh rahay ke Arabi roznama Al-Shurooq mein guzashta mah ye khabar shaya huvi thi ke bahera room se munsalik naher Suez per bandargaah Said ke ilaqay mein Francesi sifaratkar Ferdinand de Lesseps ke mujasmay ki dobarah tanseeb ke baaray mein khayalat ka izhaar kiya ja raha hai. Ferdinand de Lesseps France ki janib se consul ke tor par 1833 mein Cairo aaye thay aur baad mein Alexandria mein tainaat thay.

unhoun ney bahera room ko bahera Ahmar se milaane ke liye khayaal pesh kiya tha aur 1859 mein Misar mein neher Sues ki taamer par Osmani Governor ko raazi kar liya tha. Is aabi guzargah ki taamer mein 10 saal ka arsa lag gaya tha aur ye rasta 17 November 1869 ko sarkari tor khol diya gaya tha.

30 saal baad yadgar ke tor par November 1899 mein Francesi mujasma saaz Emmanuel Frémiet ke zareya Ferdinand de Lesseps ka 33 feet ouncha kansi ka mujasma tayyar kar ke port Said par khada kiya gaya tha. Ye mujasma dayen haath mein neher Suez ka naqsha thaamay anay waloun ka istaqbaal karte huve dekhaya gaya tha.

 Wazeh rahay ke 1956 ki mashriq wasti mein jung ke douran is mujasmay ko Misri jangjoon ney tabah kar diya tha. Is waqt Misar ke sadar Jamal Abdul Al Nasir ki janib se neher Suez ko qaumi shanakht di gayi thi. Roznama Al-Shurooq ki report mein ye bhi wazeh kiya gaya hai ke jaded tanseb mein Ferdinand de Lesseps ke mujasmay ke sath ek aur mujasma nasb kiya jaye ga jis mein Misri kisaan ko neher khodnay walay mazdooroun ki alamat dekhaya jaye ga.

Ek muqami ohdedar ne naam zahir nah karne ki shart par baat karte huve kaha ke abhi tak is par koi faisla nahi huwa. Mujasmay ki dobarah tanseeb se qabal mazeed awaami behas ki zaroorat hai. Misar ke ek wakeel mustafa Bakry ne is tajweez ki muzammat bhi ki hai. Al-Shurooq ke kalm nigaar Abdallah el-Senawy ne likha hai ke neher Suez ki taamer ke douran jabri mazdooroun ki halakat nasal parastana jurm hai.