Cairo: Miser ki wizarat uqaaf ne mulk ki tareekh mein pehli martaba Ramadan ke douran Masajid mein aitekaf aur Taraveeh par pabandi laganay ka faisla kiya hai. Ye faisla duniya bhar mein naye Coronavirus ke phelao ko roknay ke liye ahteyati tadbeer ke tor par kiya gaya hai. Tafseelaat ke mutabiq Misar ki wizarat uqaaf ne Ramadan ke douran tamam ijtimai sargarmia moattal kar dein. Is se qabal Masajid ke ahatoun ya un se munsalik maqamat par taqrebaat aur aftaar dastarkhawan laganay par bhi pabandi lagadi thi.
Misri wizarat uqaaf har saal Ramadan mein ijtimai aftaar Programme munaqqid karti thi. Is saal aisa koi Programme nahi hoga. Misar mein Islami umoor ki Supreme Council ne wizarat dakhla aur Cairo Governor ke naam khutoot beje hain jin mein darkhwast ki gayi hai ke is saal Imam Al-Hussein jame Masajid ke sehan mein Islami afkaar forum aur Ramadan ke douran mulk ke kisi bhi ilaqay mein kisi bhi qisam ka forum munaqqid karne par pabandi lagadi jaye. Misri wizarat uqaaf ke mutabiq is saal Masajid mein aitekaf ka koi intizam nahi hoga. Jab tak mulk Coronavirus se pak nahi hojaye ga Masajid ban rahegi. –YTN STAFF