Hyderabad

MIM-TRS-BJP: KCR ki wazahat

By Abdul Aziz

September 06, 2018

Hyderabad. Kaarguzar Chief Minister o Sadar Telangana Rashtra Samiti Mr. K. Chandrashekar Rao ney aaj Assembly ki tahleel ke baad Pragathi Bhavan mein akhbaari numaindon se baat cheet ke douran sahafion ke sawalaat ke jawabaat dete hue Majlis Ittehad ul Muslimeen aur Bharatiya Janata Party se TRS ke taluqaat ke barey mein wazahat ki aur Party ka moaqqaf zahir kya. jahan unhon ney Majlis Ittehad ul Muslimeen ke sath Telangana Rashtra Samiti ki dosti ka khil kar izhaar kya wahein unhon ney yeh wazeh kardiya ke BJP ke sath TRS ki koi mafahmat nahi hai. unhon ney Majlis Ittehad ul Muslimeen ke sath Telangana Rashtra Samiti ke dostana taluqaat ka bermila izhaar karte hue kaha kay Majlis ke sath un ki Party ke dostana taluqaat hain. Unhon ney bataya ke yaqeenan Majlis ke sath hamaray dostana taluqaat istewaar hain aur intikhabaat mein agarchay hum ney koi mafahmat nahi ki taham dono partiyon ke darmiyaan dostana muqaabla hoga. Unhon ney kaha ke hum mil jul kar kaam kar rahay hain. Iqtidaar sambhalnay ke baad hamari yeh koshish thi ke Hukumat chalaney mein kisi qisam ka koi khalal na ho. Unhon ney bataya ke kis tarha Telangana ki tashkeel ke baad TRS Hukoomat ke qiyaam ke baad Majlis se qurbat badhi. Unhon ney bataya ke intikhabaat ke baad Sadar Majlis Ittehad ul Muslimeen Barrister Asaduddin Owaisi ney unhen Delhi se phone kya aur kaha ke Telangana riyasat nahi ban’ney tak nahi bani magar aaj riyasat ban gayi, kya Telangana riyasat ko jeeney nahi dete, mein aap ke sath hoon. Unhon ney bataya ke un ki darkhwast ke baghair riyasat ke mafaad mein aur paidaar istehkaam ke liye raza karana taur par TRS Hukoomat ki taayied karne wali Party ka naam MIM hai. Yaqeenan ab woh hamari Haleef Party hai aur hamaray darmiyan muqaabla bhi dostana hai. BJP se taluqaat ke barey mein istefsarat ka jawab dete hue Mr. K. Chandrashekar Rao ney Wazeer e Azam Mr. Narendra Modi se apni mulaqaat ki bhi tauzih paish karte hue kaha ke unhon ney Wazeer e Azam se khufia mulakaatein nahi ki balkay elania taur par un se mulakaatein ki. Unhon ney yeh wazeh kardiya ke TRS aik secular Party hai, sad feesad secular hai taham kuch log yeh bawar karwney ki koshish kar rahay hain ke TRS ka jhukao BJP ki taraf badhta ja raha hai. Jahan tak Wazeer e Azam se un ki mulakaton ka talluq hai woh aik Chief Minister aur aik Wazeer e Azam ki mulaqat hai. Unhon ney kaha ”mein aik riyasat ka Chief Minister hoon aur woh Mulk ke Wazeer e Azam hain. Wazeer e Azam se mulaqaat ke mujhe 64 mawaqay haasil hotay hain. Kal hi mein ney Wazeer e Azam se baat cheet ki hai. Markazi hukoomat aur riyasti hukoomat ke darmiyan taluqaat dastoori noiyat ke hotay hain. Har Chief Minister ko Wazeer e Azam se baat karni padti. Wazeer e Azam ijlaas talabb kere to Chief Minister ko shirkat karni padti. Yeh sarkari taluqaat hain, shakhsi taluqaat nahi. aik taraf Majlis se hamari dosti hai aur phir doosri taraf BJP se mafahmat kis tarha hosakti hai.”