Slider

Mike Pompeo Israel. Bahrain moahida par America ki koshish taiz

By News Desk Roman Urdu

August 28, 2020

Manama: Americi mehakma-e-kharja ke ek senior ohdedar ney secretary baraye kharja Mike Pompeo ke Bahrain ke doray ke douran kaha ke agar zaroorat huvi to America Bahrain aur Israel ke darmain mamool par laane mein madad kere ga. 13 August ko Mike Pompeo Israel aur Mutahidda Arab Emarat ke mabain muahiday ke baad America ke mashriq wasti ke doray par hain.

Ohdedar ney kaha agar hum Bahrain ke sath halaat mamool par laane mein madad kar saktay hain to hum tayyar hain. Bahrain pounchanay par Mike Pompeo ney kaha ke is muahiday ki raftaar ko taiz karna zurori hai. Is safar par wo Yaroshallam, Sudan, Bahrain, Mutahidda Arab Emarat ka dora kar chuke hain aur jumaraat ko Amman ka rukh kiya.

Israel aur America ny kaha hai ke wo mazeed Arab mumalik par Mutahidda Arab Emarat ke rastay par chalne ke liye dabao daal rahay hain. Israel ke wazeer Intelligence ny Bahrain ka ek mumkina umeed waar ke tor par zikar kiya hai. Mujhe lagta hai ke Mutahidda Arab Emarat ke faislay se aisi aabb-o-hawa peda huvi hai jis ki wajah se dosray Arab mulk ko is ki pairwi karna aasaan huwa hai aur is ke baad mazeed mumalik is raah par agay badhatay deekhayee day rahay hain.

Bahrain ne Mutahidda Arab Emarat aur Israel muahiday ke elaan ke foran baad hi is ka khermaqdam kiya hai aur kaha hai ke is se aman ke imkanaat badh gaye hain. Bahrain ke chhootey jazeeray mein Americi behria ka panchawan flat, UA behria forces ki Central Command ( USNAVCNT ) aur ek Bartanwi behri imdadi sahoolat mojood hai. Bain ul aqwami Maritime security tamirat ( IMCA ) jo Tanker hamlon ke silsilay ke baad khaleej mein tijarti jahazoo ki hifazat ke liye 2019 mein tashkeel di gayi thi, Yeh Bahrain mein bhi muqeem hai.

Bahrain ke Wali Ahad shahzada Salman bin Hamad Al khalifa ney kaha ke unhoun ney Israel aur Mutahidda Arab Emarat ke muahiday ke baray mein Americi koshisho ka khair muqadam kiya aur ek hal ke husool ke liye dobarah koshisho ko dugna karne ki ahmiyat jo Palestine aur Israel tanaza ke khatmay ke liye ek Strategic hal ke tor par kam aayegi.