Sports

Messi Barcelona ko kher baad keh satke hain

By News Desk Roman Urdu

July 06, 2020

Barcelona: Argentina ke star sticker Lionel Messi ne haspanwi football Club Barcelona chodney ka azm karliya hai. Team ke sath un ka moahida June 2021 mein khatam hoga. Haspanwi Radio station Cadena  Ser ki it-tila-aat ke mutabiq Messi par club ke kheloun ke manager Eric Abidal aur sabiq coach Ernesto Valverde ke sath jhagde ka ilzaam ayed kiya gaya hai. Is wajah se  Messi 2021main club ke sath maahdoun mein towsee nahi karna chahtay hain. Lionel  Messi ne club se muahiday ki towsee ke liye mazakraat khatam kardiye hain. Report mein kaha gaya hai ke Messi aur un ke waalid Jorge Messi ne club se 2017 mein honay wali tajdeedi muahiday ki mazeed towsee ke liye baat cheet shuru ki thi lekin wo club se mazeed jurray rehne ke khwaahan nahi hain.

Messi ney 16 October 2004 mein Barcelona ke liye 16 saal ki omar mein aaghaz kiya. Is waqt se unhoun nay team ke liye 724 matches  main 630 gole. Is waqt ke douran unhoun nay 34 aizaz haasil kiye jin mein 10 Liga aur 4 UEFA  Champion league shaamil hain. Messi nay muahiday mein 2017 mein towsee ki thi. Is saal January mein Ernesto Valverde ko Barcelona se coach ki hesiyat se bar tarf kardiya gaya tha. Is ke barey mein club ke Sport manager Eric Abidal ney Messi ka naam liye baghair kaha ke team ke khiladi Valverde se khush nahi hain. Isi wajah se coach ko barkhwast kardiya gaya. Messi ne jawab mein kaha ke khiladioun ka naam liye baghair tanqeed karna ghalat hai.

Is tanaza ke baad Messi aur Abidal ke darmain taluqaat mazeed kharab ho gaye. Club ke captain khiladion ke miyaar par bhi dil bardashta hain. Barcelona ki janib se is report ke jawab mein kuch nahi kaha gaya aur ta haal koi rad-e-amal samnay nahi aaya. Baad azan April mein unhoun ne club ke board ko nishana banatay hue kaha tha ke khiladi coronavirus ke baais team ki maali mushkilaat ko khatam karne mein madad ke liye muawzay mein kami ko tasleem karne ke liye tayyar nahi hain.

Messi 30 June ko 700 gole score karne walay duniya ke 7 we khiladi ban gaye. Is mein club ke liye 630 aur apne mulk Argentina ke liye 70 gole shaamil hain. Unhoun ne yeh karnaama Liga mein Real Madrid  ke khilaaf ek gole ke sath haasil kiya. Taham match 2-2 se barabar raha. Messi ko 2 Decemeber ko duniya ke behtareen footballer ke tor par muntakhib kiya gaya. Paris mein munaqidah taqreeb mein unhoun ne chhutti baar record mein Ballon d Award jeeta. Is muamlay mein bhi unhoun ne Ronaldo ko peechay chode diya taham sirf Messi aur Ronaldo hi aakhri 11 Ballon d aur award jeet chuke hai.