Hyderabad

Mehar organisation ki janib se Yousuf Jaffar Mehar ali ki 119th youm-e- paidaish Hyd may manaya jaega

By News Desk Roman Urdu

August 09, 2019

Hyderabad :Maher Organisation ke zere ihtemaam ” A Talk on Yousuf Jaffer Maher Ali ” at Islah High School, Shastripuram main unke Youm e Paidaesh ke mauke per munaquid kiya gaya.

Yousuf Jaffar Mehar Ali  jinhoun ne ‘Simon Go Back’ tehreek may sargarm kirdar ada kiya, Jisne Hindustani qaumi Movement ki taarekh ki numayaan iqsaam may apna naam shumaar kiya, 3 september 1903 ko ek ameer sanat-kar ke gharane may Mumbai may paida hue.

Yousuf Jaffar talib-e-ilmi ke zamane se he bartanwi hukmuranoun ki ghair insani harkatoun per tanqeed karte the. Unhoun ne angrezoun per sakht tabsarah kiya ke “ Bartanwi hukmuran kuttoun ki tarah hai, agar aap inhen laat maarte hain to wo aap ko chaatenge, lekin agar aap unko chaatinge to wo aap ko laat maringe.

Unhoun ne 1925 may ‘Young India society’ ka aaghaz kiya aur noujawanoun ki tehreek shuru ki. Unhoun ne 21 January 1928 ko society ka ijlaas munaqid kiya aur mukammal aazadi ke haq aur Simon commission ka boycott qarardad kiya.

Lekin us din ke kuch ahem rehnumaoun  ne unko Bachakana sargarmiyoun se taabeer kiya, lekin unhoun ne kaha kaha ke “ Bacha insaan ka baap hai”.

Simon commission jab Bombay pohancha aur Mole station per jahaz se neeche utra to wo police cordon ke zariye farar hogaya aur ‘Simon Go Back’ ka naara lagaya, iske nateeje may bartanwi hukumat ne ise apne qaanuni amal se rok diya.

Yousuf Jafar Mehar Ali ka mu-aqaf tha ke noujawanoun ko nazaryati shaoor, Tareekh ka mutaliya aur hikmat-e-amli ke bare may maalumat ki zarurat hoti hai, chunacha unhoun ne noujawanoun ke liye tarbiyati classes bhi chalayi aur kayi kitabein shaya kiye. In sargarmiyoun ki wajah se unhe kayi baar jail jaana bhi padha, qaid khane may bhi unhoun ne qaidiyoun ke huqooq ki jung ladhi.

Yousuf Jafar Mehar Ali ne bhi dukanoun aur establishments act ke nifaad ke liye ahem kirdar ada kiya, jis se dukan ke mulazimeen ko fayeda hua. Unhoun ne 1940 may Satyagraha Movement ahem kirdar ada kiya aur 1942 may apne naare “Hindustan Chodho” ke liye mashoor hue, Jisne bartanwi hukmuranoun ko mayoos kardiya.

1948 may Mumbai qanoon saz assembly elections may Socialist party ke umeedwar ki haisiyat se yousuf ne inteqabat may kamiyabi haasil ki, wo apni qurbaniyoun aur aam  zindagi ki waja se tamam awami numaindoun ke liye role model bangay .

Tehreek-e-Azadi may numayan kirdaar ada karne wali Yousuf Jafar Mehar Ali Police torture ki wajah se beemar hogay jab wo Yerawada Jail may the, Uske baad wo sehat yaab nahi hosake aur 2 July 1950 ko  aakhri saans lekar is duniya se rukhsat hogay. -YTN STAFF