Riyadh: Saudi wizarat dakhla ne Mecca Mukaramah mai bhi curfew mein narmi ka elaan kar diya aur is par amal itwaar 31 May 8 shawaal se hoga. Tafseelaat ke mutabiq muqami shehri aur muqeem ghair mulki shehri rozana subah 6 bajey se sah pehar 3 bajey tak gharoun se nikal satke hain. Is hawalay se pehlay se ayed pabandi uthali gayi.
Wizarat dakhla ne dosra elaan ye kiya hai ke 21 June 29 Shawal se Mecca ki Masajid Namazioun ke liye khol di jayengi. Shehar ki tamam Masajid mein paanchoun waqt ki namazain jamaat se ada ki ja sakaingi. Wizarat dakhla ne Mecca Mukaramah mein curfew mein narmi ka faisla 2 marhaloun mein nafiz karne ka elaan kiya hai. Pehlay marhalay ka aaghaz itwaar 31 mai 8 shawaal se hoga. Is douran Mecca ke shehri subah 6 se sah pehar 3 bajey tak gharoun se nikal sakenge.
May se Mecca Mukaramah anay janay ki ijazat hogi. Mecca ke shehri din bhar apne muhaly mein chehal qadmi kar sakenge. Masjid Al Haram mein muqarara zawabit ke mutabiq jummay aur farz namazain jamaat se ada karne karne ka silsila barqarar rakha jayega.
Sabiq faisloun mein jin sar garmioun ko istashna diya gaya tha wo hasb sabiq barqarar rahengi. Mukammal lockdown walay mehloon mein hifazati iqdamaat ka silsila barqarar rakha jayega. Wizarat dakhla ke bayan ke mutabiq curfew mein narmi ka dosra marhala 21 June 29 shawaal se shuru hoga. 21 June se Mecca ke shehri subah 6 bajey se raat 8 bajey tak gharoun se baher sakenge.
Awaami maqamat par 24 ghantay samaji faaslay ki pabandi mo-asar rahaygi. Ijtimai maqasid ke liye 50 se ziyada afraad par mushtamil ijtima mamnoo rahega, Maslan shadioun aur taziyati ijtima mein 50 se ziyada afraad jama nahi ho saktay lekin mehloun mein 24 ghantay chehal qadmi ki jasakaygi.
Aisa koi bhi kaam jis mein samaji faaslay ki shart poori nah hosakti ho is par pabandi barqarar rahegi. Beauty Parlor, Fitness Centers, Barber Shops, Health and Sports Club, Tafrehi marakaz, Cinema ghar aur aisay tamam kaam jinhein mutaliqa hukkaam mana kar rahay hon pabandi rahaygi. Bayan mai ye bhi kaha gaya ke mukammal lockdown walay mahloun mein hifazati iqdamaat barqarar rahenge. –YTN STAFF