Latest News

Mecca Clock Tower Awam Ke Liye Khol Diya Gaya

By News Desk Roman Urdu

May 12, 2019

Mecca Mukarramah : Mecca mein haram ke samnay qaim clock tower jahan saal bhar zaireen ka Tanta bandha rehta hai, ab apne chaar manzila ajaaeb ghar ke sath sayahati maqam ke tor par bhi awam ka istaqbaal karega. clock tower mein banaya gaya yeh museum is saal Ramadan mein zaireen ke liye khola gaya hai, jo poora maheena musalsal khula rahayga. ajaaeb ghar ki pehli manzil par nizaam-e-shamsi ki mujassam akkaasi ki gayi hai jis ke baad waqt ke taayun, kaayenaat, kehkashan ke alawa nizaam e shamsi ki gardish ko bayan karne ke liye behtareen aur jadeed tareen tareeqon ke zariye wazahat ki gayi hai .

Is ke alawa zaireen ko duniya ki sab se badi ghadi jo kay mecca tower per nasab ki gayi hai, is ke mukhtalif marahil aur tanseeb ke baare mein bhi tafseel se aagah kiya jata hai. ghadi ki tayari mein duniya ke badi companiyon ki mushtarqa kawish hai. clock tower museum ki doosri manzil waqt ke baare mein hai yahan mukhtalif adwaar mein ghadion ki aejaad ke baare mein wazahat ki gayi hai. clock tower ki teesri manzil par kaayenaat ke razon ke baare mein mujassam akkaasi karte hue mukhtalif manazair ko paish kya gaya hai alawa azeen chaand aur Sooraj girhan se mutaliq mukhtalif adwaar ko bhi dekhaya gaya hai.

Chowthi manzil par zaireen ko khalaa aur sayyaron ke baare mein maloomat muhayya ki gayi hain. Tower ke sab se buland maqam ko Shirfa kaha jata hai yahan pohanch kar zaireen haram shareef ka fazai mushahida kar saktay hain. yahan se poora shehar dekha ja sakta hai jabkay zaireen haram ka intehayi khubsorat manzar bhi dekh sakte hain. apni oonchai ki wajah se clock tower mecca se 25 kilometer door se bhi dikhayi deta hai. imarat ka naam is par nasb duniya ki sab se badi ghadi par rakha gaya hai, jo charon simtao se dikhayi deti hai. clock tower mein yeh khususiyat rakhi gayi hai ke azaan ke waqt LEDs ki jagmagati hain jin ki roshni meelon door se dikhayi deti hai . –YTN STAFF