Hyderabad: Maulana Azad National Urdu University ( MANU ) ke talba ne mangal ke roz lagataar dosray din bhi apna ehtijaj jari rakha. Jabkay asateza aur ghair tadrisi amlay ne bhi Jamia Millia Islamia aur Aligarh muslim university ke talba se izhaar yakjahti ke liye rally nikaali. Emthanat ka boycott karte hue MANU ke talba ne Campus mein apna ehtijaj jari rakha. Hukoomat mukhalif naaray lagaye aur JMI aur AMU ke talba par police ki bar bariat ki par zor muzammat ki.
MANU Students Union, Jis ne muzahirey ka ihtimaam kiya, Itwaar ke roz JMI aur MMU Campus mein mobayyana tor par daakhil ho kar talba par hamla karne walay police ehalkaroun ke khilaaf karwai ka mutalba kiya. Muzahireen shehriat tarmeemi act ( CAA ) ke rule back aur shehrioun ke mujawaza qaumi register ( NRC ) ko wapas lainay ka mutalba kar rahay they.
Hindustan ki pehli aur wahid Urdu University MANU, ke talba ne lagataar dosray din emthanat ka boycott kiya. Talba Union Emthanat ka boycott khatam karne ya usay jari rakhnay ke baray mein charshumbe ke baad faisla keregi. Union ne peer ko kaha tha ke talba charshumbe se Emthanat mein shareek ho satke hain, Lekin jamhoori torpar aman ehtijaj jari rahayga.
MANU ke faculty aur Non Teaching mulazmeen ne JMI aur AMU mein police ki wehshiana karwai ki sakht muzammat karte hue qasoor vaaru ke khilaaf karwai ka mutalba karte hue Campus mein ek rally nikaali. Teachers Association,Officer Association aur mulazmeen, Welfare Association ne ehtajaji talba ki himayat mein rally ka ehtimaam kiya.
400 ke qareeb asateza-o-Non Teaching mulazmeen ne rally mein hissa liya, Jis mein CAA ke rule back aur NRC ko wapas lainay ka mutalba bhi kiya gaya. Rally ka ekhtataam markazi darwazay par ek ijlaas mein huva, Jahan kuch facultries ne khitaab bhi kiya. Teachers Association ke sadar professor PH Mohammad , Officers Association ke sadar Mujahid Ali aur mulazmeen welfare Association ke rehnuma Sheikh Mohiuddin ne rally ki qayadat ki. –YTN STAFF