Slider

Masoom Awam Ko Halaak Karne Mein Nato Force Sab Se Agay

By News Desk Roman Urdu

July 31, 2019

Kabul: Aqwam-e-mutahidda ke mutabiq 2019 ke pehlay 6 mah mein taliban aur deegar musallah nazeemoun se ziyada Afghan aur Nato forces ke hamloun mein shehri halaak hue. tafseelaat ke mutabiq aqwam-e-mutahidda ki janib se shaya honay wali report mein kaha gaya ke ziyada tar shehrion ki halakat baghion ke khilaaf Afghan aur Nato forces ki karwaiyon, jaisay fazai hamlay aur raat ke waqt musallah tanzeemon ke thikanon par chhapa maar karwai ke douran huien hain. wazeh rahay ke baaghi ziyada tar shehri ilaqon ko chupnay ke liye istemaal karte hain.

Aqwam-e-Mutahidda ke mission baraye Afghanistan ne kaha hai ke Afghan forces ne rawan saal ke pehlay 6 mah mein 413 aur aalmi forces ne 314 shehrion ko halaak kiya  jis ki jumla tadaad 717 hai, is ke Baraks taliban, daish aur deegar musallah tanzeemon ne itnay hi arsay ke douran 531 shehri halaak kiya . 300 se zayed afraad ko taliban ne barah-e-raast nishana banaya tha, taliban ki janib se taqreeban rozana ki bunyaad par hamlay kiye jatay hain jin mein ziyada tar security forces ko nishana banaya jata hai . taliban ne America se 18 saal se jari jung ke khatmay ke liye muzakaraat ke bawajood bhi jung bandi ko mustard kardiya hai jabkay daish bhi security forces sameit Afghanistan mein ahal tashee baradri ko nishana bnarhi hai.

Aqwam-e-mutahidda ki report par kabul hukoomat, Afghan fouj ya aalmi forces ki janib se koi radd-e-amal samnay nahi aaya. khayaal rahay ke America ne 2014 mein Afghanistan mein –apne comet mission ka khtama kardiya tha taham woh ab bhi muqami forces ko musallah garohoon se ladnay ke liye fazai sameit deegar taawun faraham kar rahi hai. report shaya karne walay aqwam mutahidda ke Muawin baraye Afghanistan ke insani haqooq ke sarbarah richard binit ne kaha ke tanaza par ha janib se alag wazahat mileygi kyunkay har koi apni fouji hikmat-e-amli ko behtar saabit karega.

Unhon ne kaha kay Aam afghaniyon ke liye sorat-e-haal ko aalmi insani haqooq ke qawaneen par amal karne ke alawa wahan jari larai ko kam karkay behtar banaya ja sakta hai. report mein kaha gaya ke shehrion ki halakat aur zakhmi honay ki tadaad mein January se June 2019 ke darmiyan guzashta saal ke is hi arsay ke muqablay mein kami aayi hai. report ke mutabiq har 3 mein se ek halakat zameeni larai ki wajah se hui aur panchawan hissa sadak kinare bomb dhamakon ki wajah se paish aaya, fazai karwaiyon se 14 feesad halakatain huien.

Darin Isna atwarko Afghanistan ke naib sadr ke umeed waar aur sabiq khufia idaray ke sarbarah ke kabul mein daftar par honay walay hamlay ki zimma daari kisi ne qubool nahi ki, Amrullah Saleh hamlay mein mehfooz rahay they. green trained party ke daftar par honay walay hamlay mein 20 afraad halaak aur 50 se zayed zakhmi hue they. –YTN STAFF