Masjid Nabavi

Slider

Masjid Nabavi ki chath namazion ke liye kholdi gayi!

By News Desk Roman Urdu

January 01, 2021

Madinah Munawwara: Masjid Nabavi ki chhath aaj se namazion ke liye kholdi gayi hai. Arab media ke mutabiq ab Namaz-e-fajar, maghrib aur isha ki namazain Masjid-e-Nabavi ki chhath par bhi ada ki ja sakaingi. Media report ke mutabiq masjid Nabavi ki chhath namazion ki badhti tadaad aur faasla barqarar rakhnay ke paish-e-nazar kholi gayi hai. Intizamia ne kaha hai ke coronavirus se bachney ke liye tamam ahteyati tadabeer ikhtiyar ki jayengi.

Alawa azeen masjid nabavi ke tarjuman Jamaan alasiri ne kaha hai ke masjid Nabavi mein anay walay ahteyati tadabeer ikhtiyar karte hue chootey bachon ko apne hamrah nah layein. Tarjuman masjid Nabavi  ke hawalay se media ne mazeed kaha hai ke taleemi idaron mein mausam sarma ki tatilat ke mauqa par badi tadaad mein deegar shehron se zaireen madinah munawwara aarahay hain jin ki sahoolat ke liye mojooda halaat ko dekhte hue Jame intezamat kiye gaye hai.

Roza-e-Athar per hazri ke liye aanay walay zawabit ka khayaal rakhen aur ek app ke zariye paishgi waqt haasil karen taakay wahan pahonch kar inhen mushkil nah ho. Tarjuman alasiri ne mazeed kaha ke anay walay zaireen ko chahiye ke woh bachon ki hifazat ki khatir inhen asdhaam se daur rakhen aur mask ka istemaal laazmi tor par karen, masjid Nabavi mein atay aur jatay waqt samaji faaslay ka khusoosi khayaal rakhen.

Wazeh rahay ke saal 2020 mein coronavirus ke baais hukoomat Saudi arab ne hajj aur Umrah ke liye logon ki tadaad mehdood kardi thi. Baad azan Umra ki ijazat pehlay Saudi arab mein muqami aur berooni afraad ki mehdood tadaad ko di gayi jiske baad corona se kisi ke mutasir nah honay aur intizamaa par mukammal yaqeen ke baad marhala waar is mein towsee ki Gayi jiske baad ab berooni afrad ko bhi umrah ki ijazat hai.