New Delhi: Babri Masjid mutanazia araazi par Supreme Court ka faisla aaney ke baad Masjid doosri jagah taamer ki hidayat ke baad Musalamanoun mein ye tajasus paaya jata hai ke masjid ke liye kis muqam par zameen di jayegi lekin ab agar media zaraye ke ishaaroun par yaqeen karen to ayodhya maamla mein aaye faislay ke paish-e-nazar muslim fareeq ko 5 acre zameen Ayodhya nagri ke bahar Sahanva Nami gaon mein diye jaane ka imkaan hai.
report ke mutabiq Sahnva gaon mein hi Babar ke sipah salaar Meer baqi ki qabar hai aur unki nasal se taaluq rakhnay walay log bhi yahin rehtay hain. Meer baqi ne hi babri masjid taamer karwai thi.
Zaraye ke hawalay se khabar di hai ke Meer baqi ki nasal ke log bhi chahtay hain ke sahanva mein masjid banay. Sahanva fil haal Ayodhya nagar nigam mein shaamil nahi hai aur ram janam bhoomi se taqreeban 3-4 kilometer door hai halaanke imkaan hai ke jald hi sahnva samait deegar 40 gaoun ko Ayodhya nagar nigam mein shaamil kiye jaane ki manzoori milsakti hai. waisay 2017 mein Sahnva ko ayodhya nagar nigam mein shaamil kiye jaane ki tajweez hukoomat ko bheji ja chuki hai. Sahnva ke alawa chaand gaoun ke naam par bhi masjid ke liye jagah diye jaane ka tazkara zoroun par hai.
Ghor-e-talab hai ke Babri Masjid ke liye mutabadil jagah ki shakal mein Sahnva gaon ka naam 1990 ki dahe se hi kabhi kabhi samnay aata raha hai.
Babri Masjid shaheed hojane se pehlay hi is gaon ke mutaliq khabrain zoroun par theen aur suna gaya tha ke hukoomat Sahnva gaoun ki 40 acre zameen haasil karegi. kaha jata hai ke is ke liye ba-qaida khufia mehakma aur markazi ohdedaron ki ek team ne jagah ka muaina bhi kiya tha.
Faizabad ki zila intizamia ne zameen ki paemaiesh karte usay nishaan zad bhi karliya tha. tab ki khabroun ke mutabiq record mein ye zameen Meer baqi ke afraad-e-khandan ke naam darj hai. yaad rahay ke 9 November ko Ayodhya muamlay mein Supreme Court ne faisla dete hue mutanazia zameen par mandir bananay ki hidaayat di hai. sath hi masjid ke liye alag se 5 acre zameen mutabadil jagah par diye jaane ka bhi hukum diya hai.
Supreme Court ne apne hukum mein Babri Masjid todey jaane ke waqea ko ghair qanooni Qarad diya hai aur usay jurm maana hai. Supreme Court ne apne hukum mein hukoomat ko mandir ke liye trust bananay aur masjid ke liye zameen muhayya karwane ka hukum jari kiya hai lekin Ayodhya muamlay ke arzi dahinda Iqbal ansari ne media se kaha ke abhi tak unke paas is silsilay mein koi tajweez nahi aayi hai. unhon ne mazeed kaha ke khwahish ke mutabiq agar zameen mileygi to wo zaroor lenge. –YTN STAFF