Madina : Masjid al haram aur Masjid-e-Nabawi intizamia ke sarbarah aala Sheikh Dr Abdul Rahman al sudais ne elaan Kiya hai ke Masjid-e-Nabawi ke junoob maghribi sehan mein aab-e-zamzam ki Sabeel qaim ki jayegi.
Saudi press agency ( SPA) ke mutabiq duniya bhar se Saudi arab anay walay zaireen mumlikat pohanchanay ke baad aab-e-zamzam peenay ke mushtaq hotay hain. Saudi hukoomat ne masjid al haram mecca mukarrmah mein jagah jagah aab-e-Zamzam ki sabeel qaim kar rakhi hain. isi ke alawa aab-e-Zamzam ke cooler bhi rakhay gaye hain un mein thanday pani aur saada pani ke cooler bhi hotay hain. Mecca Mukarramah mein Shah abdullah ke naam se mansoob aab-e-Zamzam ki azeem ul shan Sabeel 24 ghantay baara mahinay zaireen ka khaer maqdam karti hai.
Dr Al Sudais ne tavajja dilae hai ke Masjid-e-Nabawi ke junoobi sehan mein aab-e-Zamzam ki Sabeel qaim karne ki tayyariyan hogayi hain. yeh kaam intizamia ke matehat engineer, takneeki umoor ke maahir aur deegar karkun anjaam denge.
Muawin secretary sarbarah intizamia engineer Faisal bin Mohammad al jehni ne kaha hai ke aab-e-Zamzam ki Sabeel 330 murabba meter ke raqbay par qaim ki jayegi. iska maqsad Masjid-e-Nabawi shareef ke zaireen ko 24 ghantay aab-e-Zamzam ki Nemat se Faiz yab karna hai.
Unhon ne mazeed kaha ke aab-e-Zamzam ki nai Sabeel mein jadeed technology se faida uthaya jayega. pani ki hifazat aur salamti ko yakheeni bananay ke liye tamam tadabeer scientific bunyadon par ki jayengi. yaad rahay ke Masjid-e-Nabawi mein zaireen ke liye aab-e-Zamzam ke cooler ka intizam hai taham badey paemanay par uski Sabeel pehli martaba qaim ki jarahi hai. –YTN STAFF