Slider

Masjid-al-Haram aur Masjid-e-Nabawi sameit Saudi mein Namaz-e-Istesqa padhi gayi

By News Desk Roman Urdu

October 31, 2019

Riyadh : Harmain sharifain sameit Saudi arab ke mukhtalif shehron mein jumeraat ko barish ke liye namaz-e Namaz-e-Istesqa gayi.

Saudi press agency ke mutabiq barish ke liye ada ki jaaney wali namaz ka sab se bada ijtima masjid al haram mein hua jahan kaaba Allah ke pehlu mein imam vo khatib Sheikh Dr bandar  ne imamat kayi aur baad azan khutba diya.

Governor Mecca Mukarramah shehzada Khalid al faisal aur gornrit ke Aala ohdedar namaziyon mein pesh pesh rahay. yaad rahay ke khadim Harmain sharifain Shah Salman ban abdul aziz ne Saudi arab mein abad tamam logon se appeal ki thi ke wo jumeraat ko barish ke liye khusoosi namaz ada karen.

Barish ke liye khusoosi namaz ka dosra bara ijtima Masjid-e-Nabawi  shareef mein hua jahan Sheikh Ahmed bin taalib bin hamid ne imamat kayi aur khutba diya. naib governor Madina Munawwara shehzada Saud bin Khalid al faisal sameit gornrit ke ohdedar mojood they.

Shah Salman ki hidaayat par namaz-e istesqah Riyadh, Jeddah, Dammam ke alawa tamam shehron mein bhi ada ki gayi. wazeh rahay ke islam neh apne peerokaron ko hidaayat di hai ke jab woh khushk saali mein mubtala hon to namaz-e istesqa ne barish ke liye khusoosi namaz ada karen. –YTN STAFF