India

Markazi Wazir Smriti Irani ney Priyanka Gandhi ko banaya tanqeed ka Nishana

By News Desk Roman Urdu

March 21, 2019

New Delhi: Markazi Wazir Smriti Irani ney Congress Secretary Priyanka Gandhi ko tanqeed ka nishana banatay hue Priyanka Gandhi par Lal Bahadur Shastri ka apmaan karne ka ilzaam lagaya hai. Smriti Irani ney aik video twitte kiya hai jis mein Priyanka Gandhiapne Galaay ka haar aُtarne ke baad haath mein leti hain aur phir Sabiq Wazir e Azam Lal Bahadur Shastri ke mujasma par daal deti hain.

Smriti Irani ney apne twitte mein is ko Lal Bahadur Shastri ka apmaan bataya hai. Aur Congress Party aur Priyanka Gandhi par jim kar tanqeed ki hai. Wazeh rahay ke Congress ki Secretary Priyanka Gandhi in dinon UP ke doryee par hain. Is douran woh mukhtalif halqon mein jaakar Party Kaarkunon aur Aam logon se mulaqaat kar rahi hain.