New Delhi: Congress Party ney jummay ko markazi wazeer Smriti Irani par 2004 ke baad se mukhtalif intekhabaat ke douran dayer kiye gaye halafnamey mein un ki taleemi qabliyat ke baray mein mutazaad maloomat paish karne ka ilzaam lagaya hai.
Yeh hamla Smriti Irani ke halqa Lok Sabha Amithi se parcha namzadgi daakhil karne ke aik din baad kiya gaya. Smriti Irani ney jumaraat ko halqa Lok Sabha Amithi se parcha namzadgi daakhil kiya tha. Jahan se woh Congress Sadar Rahul Gandhi ke khilaaf intekhab lad rahi hain. Smriti Irani ki taleemi qabliyat phir aik bar surqhiyon mein aagai hai. Kyun ke unhon ney apne halafnamey mein elaan kiya hai ke woh Graduate nahi hain.
Yeh pheli baar hai jab unhon ne intekhabi halafnamey mein saaf tor par likha hai ke unhon ney teen sala degree course poora nahi kiya hai. Congress Party ney Smriti Irani ki taleemi qabliyat se mutaliq kyunkay mantri bhi kabhi Graduate thi keh kar tanz kya hai. Is terha Smriti Irani ka yeh halafnama phir se surkhiyon mein agaya hai.
Congress ki Leader Priyanka Chaturvedi ney Smirit Irani ki taleem ka mazzaq banatay huwe kaha ke aik naya serial anay wala hai kyunkay mantri bhi kabhi Graduate thi is ki shroaati line hogi. aur is ke baad Line hogi, Qualification ke bhi roop badaltey hain, naye naye sanchay mein dhalte hain, aik degree aati hai aik degree jati hai, waghera.
Apne halaf nama mein Smriti Irani ney likha ke 1991 mein High School ka imthehaan paas kya, 1993 mein Intermediate ka imthehaan paas kiya. Is se qabal saal 2014 mein Amithi nashist se pheli baar intekhab ladnay ke douran Smriti Irani ney halaf nama mein likha tha ke 1994 mein unhon ney Delhi University ke School of Open Learning se Bachelor of Commerce Part. 1 kiya.
2004 mein Congress Leader Kapil Sibal ke khilaaf Delhi ke Chandni Chowk Lok Sabha halqa se intekhab ladnay ke douran Smriti ney likha tha ke unhon ne 1996 main Delhi University ke School of Correspondence se Bachelor of Art kiya. is terha ke mutazaad maloomat paish karne par Oppostion Partiyan khaas tor se congress Party Smriti ki taleemi qabliyat par tanz kar rahay hain.- YTN STAFF