Dubai : jab kabhi nizaam-e-shamsi aur khala ki baat ki jati hai to hamaray zehnoun mein wahan insani zindagi ka wujood ke honay ya nah honay ke mutaliq imkanaat aur khadshaat ubharnay lagtay hain lekin agar kaha jaye ke Mireekh par khajoor mileinge to zehan achanak ek chhalang lagaakar haerat aur taajjub ke aalam mein haqayiq jan-nay ke liye be taab hojatahe lekin shayad anay wali sadi mein yeh mumkin bhi hojaye is ka daawa koi nahi karsaktha lekin arab duniya ka mumtaz malik Dubai ( UAE ) Mireekh par khajur ki kaasht ka mansoobah banaraha hai.
UAE ne Mireekh par khajoor ke darakht ugane ki mansoobah bandi shuru kar di. tafseelaat ke mutabiq mutahidda arab Dubai ki agency baraye fazai uloom ne khajoor ki ghuthlian khalaa mein rawana ki hain. muhim ka maqsad jaiza lena hai ke khalaa ke mahol ka guthlliyoun parkia assar hota hai. science bunyadon par jaiza liya jayega aaya Mireekh per khajur ke darakht ki kaasht ho sakti hai ya nahi. Dubai ki agency baraye fazai aloom ne khajoor ki ghuthlian bain ul aqwami khalayi markaz rawana ki hain. science tajurbah fazai aloom ke mahireen, Dubai university ke tehat ghizai aur zaraat college ke taawun se kiya ja raha hai.
Dubai mahireen ne kaha hai ke khujoor ki ghuthlian Amrici riyasat Florida se rawana kiye jaane walay rocket se bhaije jayengi. yeh rocket fazai station ko khwaraak pohanchanay ja raha hai. khajoor ki guthliyoun ko space station ki laboratory mein jaize ke liye rakha jaye ga taakay andaza lagaya jasakay ke kashish saqal ki Adam mojoodgi gutliyan parkia assar kar rahi hai. unhon ne mazeed kaha hai ke tajribati marhala mukammal honay ke baad guthliyoun ko dobarah zameen ki taraf rawana kiya jaye ga taakay isi tarhan ke mahol mein ugaya jaye agar tajurbah kamyaab ho gaya to Mireekh may khajur ke darakht ugane mein madad mileygi. mahireen ke mutabiq duniya mein apni noiyat ka pehla tajurbah hai. hum ne khajoor ke darakht ko is liye muntakhib kiya ke jadeed Dubai ke baani Sheikh zayd ko intahi Aziz aur mehboob tha. Dubai ke nazdeek darakht ki manoyt ko dekhte hue naya tajurbah kiya ja raha hai. –YTN STAFF