Hyderabad

MANUU mein Yom-e-Dastoor ka ineqad

By News Desk Roman Urdu

November 27, 2019

Hyderbad: Maulana Azad National Urdu University mein aaj yom-e-dastoor ka ihtimaam kiya gaya. is mauqa par Professor Ayub Khan, Pro Voice Chancellor ne aeen ka deebacha padha aur is mein mojood Islahun par tafseeli tor par roshni daali. Unhon ne talba se kaha ke wo aeen ke mashmulaat aur tarmemaat se bakhabar rahen aur rozana zindagi mein is ke mutabiq amal karen. 11 bajey din yom-e-aeen ke silsilay mein sadar jamhooria aur Wazeer-e-Azam ke khitabat ka shoba tarseel aama-o-sahaafat ke Seminar hall mein live Telecast dekhaya gaya. Is ke baad talba ne asatezah se dastoor se marboot mukhtalif masail par tabadlah khayaal kiya. Professor Mohammad faryaad, NSS Coardinator aur Programme ke muntazim ne talba ke sawalaat ke tasalii bakhash jawabaat diye. Unhoun ne bataya ke Compus mein Banners, Posters aur deegar tashhiri ashaya ke zareya yom-e-aeen manaya gaya. Shoba taleem-o-tarbiyat ke zair e ihtimaam aaj yom-e-dastoor ke mauqa par Professor Afroz Alam, sadar shoba sayasiyat ka Lecture ka ihtimaam kiya gaya. Unhon ne haq-e-taleem aur Dastoor-e-Hind ke mauzo par khitaab karte hue dastoor mein taleem se mutaliq daf-aat par roshni daali. Unhoun ne mashwara diya ke dastoor ke tain shaoor bedaari ke liye chand ahem daf-aat ko nisaab mein shaamil karna chahiye. Unhoun ne kaha ke har ek ke liye laazmi hai ke wo dastoor mein shaamil bunyadi faraiz ko jany. Professor Noshad Hussain , Dean School baraye taleem-o-tarbiyat ne sadarat ki. Dr Ashoni, Associate Professor shoba Programme ke coardinator they. Saddam taalib ilm B.ED ne Programme ke aghraaz-o-maqasid bayan kiye. –YTN STAFF