New Delhi: Hindustan mein is waqt ek naya mauzo special protection group ( SPG ) zair-e-behas hai kyunkay sabiq Wazeer-e-Azam Manmohan Singh ki security mein kami ke baad jahan congress nay BJP ko shadeed tanqeed ka nishana banaya hai to dosri janib BJP hasb-e-rivayet apni chaal chalne mein masroof hai.
Hamaray mulk Hindustan mein is waqt sirf 4 ahem afraad ki hifazat ke liye special protection group ( SPG ) ke teen hazaar se zayed commandos tainaat hain.
Un 4 afrad mein Wazeer-e-Azam Narendra Modi , opposition congress ki sadar Sonia gandhi aur unke do bache Rahul gandhi aur priyanka gandhi shaamil hain.
Hindustan ek aisa mulk hai jahan ek laakh abadi par sirf 137 police ohdedar hain jab ke police ki 22 feesad makhlua jayedad hain.
Sabiq Wazeer-e-Azam Dr Manmohan Singh ko bhi SPG ki security haasil thi lekin Modi hukoomat nay peer ke roz yeh nafri wapas leli lekin inhen nisbatan kam darjay ki security millti rahaygi. Dr Manmohan Singh 2004 taa 2014 taq Hindustan ke wazeer-e-azam rahay hain.
Congress party nay hukoomat ke is faislay par sakht aiteraaz karte hue kaha hai ke Wazeer-e-Azam Modi aur wazeer-e-dakhla Amit Shah bhi ek din sabiq hojaienge. hukkaam nay kaha hai ke Dr Manmohan Singh ki SPG security wapas laanay ka faisla mukhtalif security agencio ki jaiza report ke baad kiya gaya.
Qabil-e-zikar hai ke sabiq Wazeer-e-Azam Atal bihari vajpayee ko barson ki alalat se wafaat taq SPG security haasil rahi.
Special protection group par ek nazar daali jaye to pata chalta hai ke is ka qiyam sabiq Wazeer-e-Azam Indra Gandhi ke qatal ke baad 1985 mein amal mein aaya. SPG sirf Wazeer-e-Azam , sabiq Wazeer-e-Azam aur un ke ahal wo Ayal ko security faraham karta hai. SPG ke commandos ka intikhab name fouji dastay border security force, central security force, Indo Tibetan border police aur central reserves police force ke jawano mein se kiya jata hai.
Inhen Amrici khufia service ke agents ki tarz par tarbiyat di jati hai. yeh commandos intehai jadeed tareen hathyaaron se lais hotay hain lekin unka kaam hamla karne ke bajaye difaa karna hota hai. SPG ko kaafi ikhtiyarat haasil hain. SPG qanoon ke mutabiq reyasti hakoomatein usay har tarhan ka taawun faraham karne ki paband hain.
woh apne commandos ko kisi bhi jagah tainaat karne ke liye hindustani fizaiya ke tayyaray ya Helicopter bhi istemaal kar sakti hain. –YTN STAFF