Kuala Lumpur: Malaysia ke Aviation ke mehakmay ne muqami Airlines ke un Pilots ko aboori tor par moattal kar diya hai jin ke paas Pakistani Civil Aviation Authority ke jari kardah licence they.
Malaysia ki Civil Aviation ne ek bayan mein kaha hai ke ye faisla tamam ghair mulki Pilots ka jaiza lainay ke baad kiya gaya. Bartanwi khabar rasan idaray ke mutabiq Malaysia ki Civil Aviation ne kaha ke un ke mulk mein 20 se kam Pakistani Pilots kaam kar rahay hain.
Wazeh rahay ke Pakistan ke hawabazi ke wifaqi wazeer Ghulam Sarwar Khan ke Pilots ke jaali ya mashkook license ke bayan ke baad duniya bhar mein Pakistani Airline PIA aur Pakistani Pilot ke hawalay se faislay kiye ja rahay hain.
Civil Aviation Authority Malaysia ne kaha hai ke wo Pakistan ki Civil Aviation Authority ke sath raabtey mein hai taakay un Pilot ke license ki tasdeeq ki ja sakay. Bayan ke mutabiq Pakistan ki Civil Aviation Authority jin Pilot ke license ki tasdeeq kere gi un ko fori tor par bahaal kar diya jaye ga.
Malaysia ki qaumi Airline ne kaha hai ke un ke amlay mein koi Pakistani Pilot shaamil nahi. Media ke mutabiq Pakistan ne guzashta haftay ek tahai Pilot ko is waqt moattal kar diya tha jab ye baat samnay aayi thi ke un ki dastawizaat mashkook hain. Pakistan ke paas kul 860 Pilot hain jin mein se 107 ghair mulki Airlines ke sath munsalik hain. Europian Union Aviation ki safety agency ne Pakistan ki qaumi Airline PIA ki apne mulkoun mein parwazoun par 6 mah ke liye pabandi ayed ki hai.