Hyderabad- Makkah Masjid aur Shahi Masjid Public Garden yaqeenan Hyderabad ka fakharya hissa hain magar un do Masjidoon ke minbar o maharab ki khidmaat anjaam dainay walay jayyad Ulama ki badi hi naqadri horahi hai. Un donun Masjidoon ke Aaima karaam mouzeneen ki Salaries intehai haqeer hain. Aap yeh jaan kar taajjub o herat mein phad jayinge ke un dono Masjidoon ke Aaima karaam, Khateeb aur Mouzeneenki salaries, un Masjidoon mein barsar e paikaar Homeguards ki tankhwahon se bhi kam hain. Makka Masjid ke aik Homeguard ko takribaan 22,000 rupay mahana mushahra diya jata hai jabkay Makka Masjid ke Aaima karaam, Khateeb aur Mouzeneen ke sath sath Shahi Masjid ke Imam o khateeb aur mouzzin ki salary sirf 17,500 rupay mahana hain. Shahi Masjid mein sirf aik hi Imam hain jo khitabat ke bhi farayiz anjaam dete hain jabkay Makka Masjid mein Khateeb aur Imam alag alag hain. Jahan tak Khateeb, Imam aur Mouzzin ka maamla hai un ki tankhwahon mein bhi koi imtiyaz nahi hai. Sabhi ko yakmusht 17,500 rupay mahana diye jatay hain. Yahan yeh zikar zurori hai ke un dono Masjidoon ke Imam o Khateeb ke mansab par maamoori ke liye behtareen se behtareen fard ka intekhab kiya jata hai aur yaqeenan ab tak un dono Masjidoon mein un manasab par jo log bhi Faiz huwe hain woh yaktaaye zamana rahay hain. Shahi Masjid Public Garden ke Imam o Khateeb Phd Scholar aur kaamil ul Hadees hain jabkay Makka Masjid ke khateeb aur Imam dono hi Kaamil ul Hadees aur M.A. hain. Afsoos ke sath kahena padta hai ke hamaray shaher ki yeh do ahem Masjidoon jin ka intizam mehakuma Aqliati Bahbood ki raast nigrani mein hai, un ke Aima Mouzzineen aur Khateeb ki salary aik Homeguard se bhi kam hai. Sabiq Secretary Mahkuma Aqliati Bahbood Mr. Umar Jaleel ne un do Masjidoon ke Aaima karaam o Khateeb ki tankhwahon mein munasib izafah ke liye file tayyar karkay maliyati manzoori ke liye tajweez mahkuma fiance ko rawana ki thi magar mahkuma Finance ne kin bunyadon par is tajweez ko mustarad kardiya maloom nahi. Hamari Ibadaat mein Khushoo o Khuzoo ke liye hamari yeh koshish hoti hai ke un do Masjjdoon mein hamari namazain ada hon. Shshrr ki kayi badi shaksiyatoon un do Masjidoon mein namazain ada karte hain magar ab tak shayed hi kisi ne yeh jan ney ki koshish ki hai ke un ka mushahra itna haqeer kyun hai aur un mein izafah ke liye abhi tak kisi ne koi koshish nahi ki hai.