India

Maharashtra aur Haryana ke assembly intikhabaat ki tarikhoun ka Election Commission ney kiya elaan

By News Desk Roman Urdu

September 21, 2019

New Delhi : Election Commission ney hafta ke roz Maharashtra aur Haryana mein intikhabaat ki tarikhon ka elaan kar diya hai. Maharashtra aur Haryana ke liye 21 October ko raye dahi hogi, aur 24 october ko raye shumari hogi aur nataij ka elaan kiya jayega. is silsila mein sabhi tayyariyan mukammal kar li gayi hain. iske sath hi mulk ki mukhtalif reyaston ki 64 assembly nishistoun ke liye bhi zimni intikhabaat ka elaan kiya gaya hai. commission ney fil haal Jharkhand mein intikhabaat ki tarikhon ka elaan nahi kiya hai.

Wazeh ho ke Maharashtra qanoon saaz assembly mein kal 288 nishistain hain, jabkay Haryana assembly mein 90 nishistain hain. guzashta intikhabaat mein Maharashtra mean BJP aur Shiv Sena ki makhloot hukoomat thi. jabkay Haryana mein BJP ney aksariyat se hukoomat banai thi. un dono reyaston mein, BJP ko umeed hai ke woh ek baar phir Iqtidaar haasil karegi. sath hi congress party bhi yahan Iqtidaar haasil karne ki koshish mein hai.

Wazeer-e-azam Narendra modi ney Haryana aur Maharashtra mein BJP ke liye intikhabi muhim bhi shuru kardi hai. Wazeer-e-aazam ney riyasat ke awam se appeal ki hai ke woh ek baar phir mulk aur muashray ke mafaad mein BJP ko Iqtidaar mein layein .

Election Commissionaire Sunil Arora ney press conference ke douran bataya ke Maharashtra aur Haryana assembly intikhabaat se mutaliq notification 27 September ko jari ki jayega. 4 october parcha namzadgi daakhil karne ki aakhri tareekh hogi. jabkay namzadgiyon ki jaanch padtaal 5 october ko hogi aur namzadgi wapas lainay ki tareekh saat october hogi. dono reyaston ke liye 21 october ko raye dahi hogi. aur 24 October ko nataij ka elaan kiya jayega. –YTN STAFF